"Aap Yuhi Agar"

Aap Yun Hi Agar Ham Se Milte Rahe,
Dekhiye Ek Din Pyaar Hojaayega,
Aisi Baaten Na Karo Haseen Jadugar,
Mera Dil Teri Aankhon Mein Khojaayega..

Peeche Peeche Mere Aap Aati Hai Kyon,
Meri Raahon Mein Aakhen Bichaati Hai Kyon,
Aap Aati Hai Kyon..
Kya Kahun Aap Se Yeh Bhi Ek Raaz Hai..
Ek Din Iska Izhaar Ho Jaayega..

Mein Mohobbat Ki Raahon Se Anjaan Hun,
Kya Kahun Kya Karun Mein Pareshan Hun..,
Hai... Pareshan Hun..
Aap Ki Yeh Pareshaaniyan Dekh Kar,
Mera Dil Bhi Pareshan Ho Jaayega..

Kaisi Jaadugari Ki Aare Jaadugar,
Tere Chehere Se Hatthi Nahin Yeh Nazar..
Hai..Meri Yeh Nazar..
Aisi Nazaron Se Dekha Agar Aap Ne
Sharam Se Rang Gulnaar Hojaayega..

Aap Yun Hi Agar Ham Se Milte Rahe,
Dekhiye Ek Din Pyaar Hojaayega,
Aisi Baaten Na Karo Haseen Jadugar,
Mera Dil Teri Aankhon Mein Khojaayega..

"Bahut Shukriya"

Bahut Shukriya Badi Meherbaani,
Meri Zindagi Mein Huzur Aap Aaye,
Kadam Chumlun Yaa, Ke Aankhen Bichadun,
Karun Kya Yeh Meri, Samaj Mein Na Aaye,
Bahut Shukriya...

Karun Pesh Tum Ko, Nazarana Dil Kaa,
Nazarana Dil Kaa..
Ke Ban Jaaye Koyi.. Afasana Dil Kaa,
Khuda Jaane Aisi Suhani Ghadi Phir,
Khuda Jaane Aisi Suhani Ghadi Phir,
Meri Zindagi Mein Palat Ke Na Aaye,
Bahut Shukriya...

Mujeh Dar Hai Mujh Mein, Gurur Aana Jaaye,
Lagun Jhoomne Mein, Surur Aa Na Jaaye,
Surur Aa Na Jaaye,
Kahin Dil Na Mera, Yeh Taarif Sun Kar,
Kahin Dil Na Mera, Yeh Taarif Sun Kar,
Tumhare Bane Aur Mujeh Bhool Jaaye,
Bahut Shukriya..

Khushi To Bahut Hai Magar Yeh Bhi Gam Hai
Magar Yeh Bhi Gam Hai
Ke Yeh Saath Apna Kadam Do Kadam Hai
Magar Yeh Musafir Duaa Maangta Hai
Magar Yeh Musafir Duaa Maangta Hai
Khuda Aapse Phir Kisi Din Milaaye

Bahut Shukriya Badi Meherbaani,
Meri Zindagi Mein Huzur Aap Aaye,
Kadam Chumlun Yaa, Ke Aankhen Bichadun,
Karun Kya Yeh Meri, Samaj Mein Na Aaye,
Bahut Shukriya...

"Humko Tumhare Ishq Ne"

Aa Aa Aa Aa...
Hamko Tumhaare Ishq Ne Kyaa Kyaa Banaa Diyaa
Jab Kuchh Na Ban Sake To Tamaashaa Banaa Diyaa
Hamko Tumhaare Ishq Ne Kyaa-kyaa Banaa Diyaa

Kaashi Se Kuchh Gharaz Thi Na Qaabe Se Vaastaa
Ham DhooNDhne Chale The Mohabbat Kaa Raastaa..
Dekhaa Tumhaare Dar Ko To Sar Ko Jhukaa Diyaa
Jab Kuchh Na Ban Sake To Tamaashaa Banaa Diyaa

Dil Ki Lagi Ne Kar Diyaa DonoN Ko Beqaraar
Dohraa Ke Daastaan-e-mohabbat Phir Ek Baar
MajnooN Hamen Aur Aapko Lailaa Banaa Diyaa
Jab Kuchh Na Ban Sake To Tamaashaa Banaa Diyaa

Nikle Teri Talaash Mein Aur Khud Hi Kho Gaye
Kuchh Ban PaDi Na Hamse To Deevaane Ho Gaye..
Deevaangi Mein Phir Teraa Koochaa Dikhaa Diyaa
Jab Kuchh Na Ban Sake To Tamaashaa Banaa Diyaa

JalvoN Ki Bheekh Phenkne Vaale Ki Khair Ho
Pardaa HaTaake Dekhne Vaale Ki Khair Ho..
Ban Ke Bhikhaari Ishq Ne Daaman Bichhaa Diyaa
Jab Kuchh Na Ban Sake To Tamaashaa Banaa Diyaa
Hamko Tumhaare Ishq Ne Kyaa Kyaa Banaa Diyaa

Aa Aa Aa Aa Aa...

"Iran Humne Dekha"

Aa: Teri Talaash Mujh Ko Laayee KahaaN KahaaN Se
Sun Le Meraa Fasaanaa Ab To Meri ZubaaN Se
Main Ne Vahin Vahin Par Sajde Kiye Hain Tujhko
ZulfoN Ko Tu UDaati Guzri JahaaN JahaaN Se

Iraan Ham Ne Dekhaa, Dekhaa Hai Cheen Ham Ne
Lekin Kahin Na Dekhaa Tujh Saa Haseen Ham Ne
Koi Bhi Jab Na Payaa Tere Muqable Kaa
Awaaz Tujh Ko Di Hai O Naazneen Ham Ne
O Yaar ZulfoN Vaale Dildaar ZulfoN Vaale
ZulfoN Ne Mujhko Maaraa (Khamdaar ZulfoN Vaale) -2
Aa: (zubaan-e-yaar-man Turki, Ho Man Turki Nami Daanam
Nami Daanam, Nami Daanam, Nami Daanam Oy) -2
Zubaan-e-yaar-man Turki

Ra: O Bevafaa Haseenaa, HathoN Mein Haath Le Le
Kaam Aayegaa Ye Tere, Deevaanaa Saath Le Le
Deevaanaa Koi Mujh Saa Tujh Ko Nahin Mile Gaa
Chaahe To Ik Nazar Mein Kul Kaaynaat Le Le
O Yaar ZulfoN Vaale Dildaar ZulfoN Vaale
ZulfoN Ne Mujhko Maaraa (Khamdaar ZulfoN Vaale) -2
Aa: (zubaan-e-yaar-man Turki, Ho Man Turki Nami Daanam
Nami Daanam, Nami Daanam, Nami Daanam Oy) -2
Zubaan-e-yaar-man Turki

Ra: Masti Mein Har Qadam Par Gir Kar Teraa Sambhalnaa
Balkhaanaa BaaNkpan Se ZulfoN Kaa Ye Machalnaa
Main To Har Ik Adaa Ko AaNkhoN Se Choom LooNgaa
Duniyaa Bahut Buri Hai Duniyaa Se Bachke Chalnaa
O Yaar ZulfoN Vaale Dildaar ZulfoN Vaale
ZulfoN Ne Mujhko Maaraa (Khamdaar ZulfoN Vaale) -2
Aa: (zubaan-e-yaar-man Turki, Ho Man Turki Nami Daanam
Nami Daanam, Nami Daanam, Nami Daanam Oy) -2
Zubaan-e-yaar-man Turki

Teri ZubaaN Judaa Hai Meri ZubaaN Judaa Hai
Par Dil Ko Kayaa KarooN Main Dil Tujh Pe Aa Gayaa Hai
Ik Ishq Hai Ki Jiskaa Mazhab Nahin Hai Koi
Har Rang Aashqi Mein Ik Rang Ho Gayaa Hai
O Yaar ZulfoN Vaale Dildaar ZulfoN Vaale
ZulfoN Ne Mujhko Maaraa (Khamdaar ZulfoN Vaale) -2
Dildaar ZulfoN Vaale
Both: (zubaan-e-yaar-man Turki, Ho Man Turki Nami Daanam
Nami Daanam, Nami Daanam, Nami Daanam Oy) -2
Zubaan-e-yaar-man Turki
Ra: ( O Ho Ho Ho Ho Ho Ho
Aa: Aa Haa Haa Haa Haa Haa Haa) -2

"Main Pyar Ka Rahi Hoon"

Main Pyaar Kaa Raahee Hoon
Teri Zulf Ke Saaye Mein
Kuchh Der Thhahar Jaaoon
Tum Ek Musaafir Ho
Kab Chhod Ke Chal Doge
Ye Soch Ke Ghabaraoon
Main Pyaar Kaa Raahee Hoon

Tere Been Jee Lage Naa Akele
Ho Sake To Mujhe Saath Le Le
Naazaneen Too Naheen Jaa Sakegee
Chhodakar Zindagee Ke Jhumele
Jab Bhee Chhaye Ghataa, Yaad Karanaa Zaraa
Saat Rango Kee Hoon Main Kahaanee
Main Pyaar Kaa Raahee Hoon

Pyaar Kee Bijaliyaan Muskuraye
Dekhiye Aap Par Gir Naa Jaaye
Dil Kahe Dekhataa Hee Rahoon Main
Saamane Baithhakar Ye Adaayen
Naa Main Hoon Naazanee, Naa Main Hoo Maahzabeen
Aap Hee Kee Nazar Hain Diwaanee Ho O
Main Pyaar Kaa Raahee Hoon

"Mujhe Dekhkar Ye Aap Ka"

Aap Kaa Muskuran-a-mujeh Dekh Kar,
Aap Ka Muskurana, Mohobbat Nahin, Hai Tho,
Phir Aur Kya Hai,

Mujeh Tum Begana Kehelo Yaa Ke Deewana,
Magar Yeh Deewana Jaane Dil Kaa Fasana,
Banavat Mein Dil Ki Haqeeqat Chupana,
Mohobbat Nahin, Hai Tho, Phir Aur Kya Hai,

Khayalon Mein Khoyi Khoyi, Rehethi Ho Aise,
Musavir Ki Chalathi Phirthi, Tasaveer Jaise,
Ada Aashiqui, Ki Nazar Shairana,
Mohobbat Nahin, Hai Tho, Phir Aur Kya Hai

Ooo Mujeh Dekh Kar Aapka Muskuarana,
Mohobbat Nahin, Hai Tho, Phir Aur Kya Hai

"Udhar Woh Chaal Chalte Hain"

Chaa Chaa Chaa
Udhar Vo Chaal Chalte Hain Idhar Ham Jaan Lete Hain
Nazar Pahchaanane Vaale Nazar Pahchaan Lete Hain -2
Udhar Vo Chaal Chalte Hain Idhar Ham Jaan Lete Hain

Agar Tum HaNs Ke Dekhoge To Ham Phir Muskaraa Lenge
Bachaakar AaNkh Nikloge Nazar Ham Bhi Phiraa Lenge
Tum Apnaa Raastaa Loge Ham Apnaa Raastaa Lenge
Na Ham Ehsaan Karte Hain Na Ham Ehsaan Lete Hain
Udhar Vo Chaal Chalte Hain Idhar Ham Jaan Lete Hain

Tumhen Hamse Mohabbat Hai Zaroorat Kyaa Jataane Ki
Inhen Parde Mein Rahne Do Ye Baat Hai Chhupaane Ki
Hamen Aadat Nahin JhooThi Qasam Khaane-khilaane Ki
Na Ham Imaan Dete Hain Na Ham Imaan Lete Hain
Nazar Pahchaanane Vaale Nazar Pahchaan Lete Hain
Make a Free Website with Yola.