"Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayaal Aata Hai"

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayaal Aata Hai
Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayaal Aata Hai
Ki Jaise Tujhko Banaya Gaya Hai Mere Liye
Ki Jaise Tujhko Banaya Gaya Hai Mere Liye
Tu Abse Pehle Sitaaron Mein Bas Rahi Thi Kahin
Tu Abse Pehle Sitaaron Mein Bas Rahi Thi Kahin
Tujhe Zameen Pe Bulaya Gaya Hai Mere Liye
Tujhe Zameen Pe Bulaya Gaya Hai Mere Liye

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayaal Aata Hai
Ki Ye Badan Ye Nigaahein Meri Amaanat Hain
Ki Ye Badan Ye Nigaahein Meri Amaanat Hain
Ye Gesuon Ki Ghani Chhaon Hain Meri Khatir
Ye Honth Aur Ye Baahein Meri Amaanat Hain
Ye Honth Aur Ye Baahein Meri Amaanat Hain

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayaal Aata Hai
Ki Jaise Bajti Hain Shehnaaiyaan Si Raahon Mein
Ki Jaise Bajti Hain Shehnaaiyaan Si Raahon Mein
Suhaag Raat Hain Ghoonghat Utha Raha Hoon Main
Suhaag Raat Hain Ghoonghat Utha Raha Hoon Main
Simat Rahi Hai Tu Sharma Ke Apni Baahon Mein
Simat Rahi Hai Tu Sharma Ke Apni Baahon Mein

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayaal Aata Hai
Ki Jaise Tu Mujhe Chaahegi Umr Bhar Yoohin
Uthegi Meri Taraf Pyaar Ki Nazar Yoohin
Main Jaanta Hoon Ki Tu Geir Hai Magar Yoohin
Main Jaanta Hoon Ki Tu Geir Hai Magar Yoohin

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayaal Aata Hai
Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayaal Aata Hai

"Mein Har Ek Pal Ka Shaayar Hoon"

Maein Har Ek Pal Ka Shaayar Hoon
Har Ek Pal Meri Kahani Hai
Har Ek Pal Meri Hasti Hai
Har Ek Pal Meri Jawaani Hai

Rishton Ka Roop Badalta Hai, Buniyaden Khatam Nahin Hoti
Khwabon Ki Aur Umango Ki, Miyaden Khatam Nahin Hoti
Ek Phool Mein Tera Roop Basa Ek Phool Mein Meri Jawaani Hai
Ek Chehra Teri Nishaani Hai, Ek Chehra Meri Nishaani Hai
Maein Har Ek Pal Ka Shaayar Hoon...

Tujhko Mujhko Jeevan Amrit, Ab In Haathon Se Peena Hai
Inki Dhadkan Mein Basna Hai, Inki Saanson Mein Jeena Hai
Tu Apni Adaen Baksh Inhen Maein Apni Wafaen Deta Hoon
Jo Apne Liye Sochi Thi Kabhi, Woh Saari Duaen Deta Hoon
Maein Har Ek Pal Ka Shaayar Hoon

"Mere Ghar Aayee Yek Nanhee Paree"

Mere Ghar Aayee Yek Nanhee Paree
Chaandanee Ke Haseen Rath Pe Sawaar

Us Ke Aane Se Mere Aangan Me
Khil Uthhe Fool Gunagunaayee Bahaar
Dekh Kar Us Ko Jee Naheen Bharataa
Chaahe Dekhoo Use Hajaar Baar

Maine Poochhaa Use Ke Kaun Hain Too
Has Ke Bolee Ke Main Hoo Teraa Pyaar
Mai Tere Dil Mein Thee Humeshaa Se
Ghar Mein Aayee Hoo, Aaj Pahalee Baar

"Pyar Kar Liya Toh Kya"

Pyaar Kar Liya To Kya Pyaar Hai Khata Nahi - (2)
Teri Meri Umr Mein Kisane Ye Kiya Nahi
Pyaar Kar Liya To Kya Pyaar Hai Khata Nahi

Tere Honth Mere Honth Sil Gaye To Kya Hua - (2)
Dil Ki Tarah Jism Bhi Mil Gaye To Kya Hua - (2)
Isase Pahale Kya Kabhi Ye Sitam Hua Nahi
Pyaar Kar Liya To Kya Pyaar Hai Khata Nahi

(main Bhi Hoshamand Hoon Tu Bhi Hoshamand Hai
Us Tarah Jiyenge Ham Jis Tarah Pasand Hai ) - (2)
Unaki Baat Kyon Sunen Jinase Vaasta Nahi
Pyaar Kar Liya To Kya Pyaar Hai Khata Nahi

(rasm Kya Rivaaz Kya Dharm Kya Samaaj Kya
Dushmanon Ka Khauf Kyon Doston Ki Laaj Kya ) - (2)
Ye Vo Shokh Hai Ki Jisase Koi Bhi Bacha Nahi

Pyaar Kar Liya To Kya Pyaar Hai Khata Nahi - (2)
Teri Meri Umr Mein Kisane Ye Kiya Nahi
Pyaar Kar Liya To Kya Pyaar Hai Khata Nahi

"Tere Chehre Se Nazar Nahin"

Tere Chehre Se Nazar Nahin Hat Ti
Nazaare Hum Kya Dekhen
Tujhe Milke Bhi Pyaas Nahin Ghat Ti
Nazaare Hum Kya Dekhen

Pighle Badan Teri Tapti Nigaahon Se
Sholon Ki Aanch Aaye Barfili Raahon Se
Lage Kadmonse Aag Lipat Ti
Nazaare Hum Kya Dekhen...

Rangon Ki Barkha Hai Khushboo Ka Saath Hai
Kisko Pataa Hai Ab Din Hai Ke Raat Hai
Lage Duniya Hi Aaj Simat Ti
Nazaare Hum Kya Dekhen...

Palkon Pe Failaa Teri Palkon Ka Saaya Hai
Chehre Mein Tere Mera Chehra Chhupaya Hai
Tere Jalwon Ki Chhund Nahin Chhat Ti
Nazaare Hum Kya Dekhen

Make a Free Website with Yola.