"Aa Kahin"

Aa Kahi Duur Chale Jaaye Ham
Duur Itnaa Ki Hamein Chhuu Na Sake Koi Gam
Aa Kahi Duur ...

Phuulon Aur Kaliyon Se Mehake Hue Ik Jungal Mein
Ik Hasin Jheel Ke Saahil Pe Hamara Ghar Ho
Os Mein Bheegi Hui Ghaas Pe Ham Chalte Ho
Rang Aur Nuur Mein Duubaa Hua Har Manzar Ho
Main Tujhe Pyaar Karu Mere Sanam
Tu Mujhe Pyar Kare Mere Sanam
Aa Kahi Duur ...

Aa Aa
Shaam Kaa Rang Ho Gaharaa To Sitaare Jaage
Raat Jo Aaye To Resham Se Andhere Laaye
Chaand Jab Jheel Ke Paani Mein Nahaane Utare
Meri Baahon Mein Tujhe Dekh Ke Sharamaa Jaaye
Main Tujhe Pyaar Karu Mere Sanam
Tu Mujhe Pyaar Kare Mere Sanam
Aa Kahi Duur...

"Apni To Jaise Taise"

Apni To Jaise Taise
Thodi Aise Ya Waise
Apni To Jaise Taise
Thodi Aise Ya Waise
Kat Jaayegi
Aapka Kya Hoga Janaabe-aali
Aapka Kya Hoga

Apne Aage Na Peeche
Na Koi Upar Neeche
Apne Aage Na Peeche
Na Koi Upar Neeche
Ronewala
Na Koi Ronewali Janaabe-aali
Aapka Kya Hoga

Aap Bhi Meri Tarah Insaan Ki Aaulad Hain
Aap Mooh Mangi Dua
Hum Unsooni Faryaad Hain

Aap Bhi Meri Tarah Insaan Ki Aaulad Hain
Aap Mooh Mangi Dua
Hum Unsooni Faryaad Hain
Woh Jinhe Sara Zamana Samjhe Laawaris Yahan
Aap Jaise Zaalimon Ke Zulm Ki Ijaat Hain
Gaali Huzur Ki To
Lagti Duaon Jaisi
Gaali Huzur Ki To
Lagti Duaon Jaisi
Hum Dua Bhi De To Lage Hai Gaali
Aapka Kya Hoga Janaabe-aali
Aapka Kya Hoga Hm

Aapke Maathe Se Chhalke Jo Pasina Bhi Kahin
Aasma Hilne Lage Aur Kaap Oothe Yeh Zameen
Aapka To Yeh Pasina Khoon Se Bhi Keemti
Aur Apne Khoon Ki Keemat Yahan Kuch Bhi Nahin
Apna To Khoon Paani
Jeena Marna Bemaani
Apna To Khoon Paani
Jeena Marna Bemaani
Waqt Ki Har Ada Hai Apni Dekhi Bhali
Aapka Kya Hoga Janaabe-aali
Aapka Kya Hoga

Haan Apni To Jaise Taise
Thodi Aise Ya Waise
Apni To Jaise Taise
Thodi Aise Ya Waise
Kat Jaayegi
Aapka Kya Hoga Janaabe-aali
Aapka Kya Hoga

Apne Aage Na Peeche
Na Koi Upar Neeche
Apne Aage Na Peeche
Na Koi Upar Neeche
Ronewala
Na Koi Ronewali Janaabe-aali
Aapka Kya Hoga

"Jiska Koee Nahin"

Jisakaa Koee Naheen Usakaa To Khudaa Hain Yaaro
Mai Naheen Kahataa Kitaabon Mein Likhaa Hain Yaaro

Jisane Paidaa Kiyaa Duniyaan Mein Wahee Paalegaa
Hum Ko Har Mod Pe, Har Julm Se Bachaa Legaa
Apane Bando Se Kahaa, Kab Wo Judaa Hain Yaaro

Julm Insaan Kaa Jab Had Se Gujar Jaataa Hai
Wo Kisee Aaur Hee Soorat Mein Paas Aataa Hai
Anaginat Rup Mein Wo Hum Se Milaa Hain Yaaro

"Kab Ke Bichhde"

Kab Ke Bichhade Huye Hum Aaj Kahaa Aa Ke Mile
Jaise Shammaa Se Kahee Lau Ye Zilamilaa Ke Mile

Kab Ke Bichhade Huye Hum Aaj Kahaa Aa Ke Mile
Jaise Saawan Se Kahee Pyaasee Ghataa Chhaa Ke Mile

Baad Muddat Ke Raat Mahakee Hai
Dil Dhadakataa Hai, Saans Bahakee Hai
Pyaar Chhalakaa Hai, Pyaaree Aankhon Se
Surkha Hothhon Pe Aag Dahakee Hai
Mahakee Hawaaon Me, Bahakee Hijaaon Me, Do Pyaase Dil Jo Mile
Jaise Mayakash Koee Saakee Se Dagamagaa Ke Mile

Door Shahanaaee Geet Gaatee Hai
Dil Ke Taaron Ko Chhed Jaatee Hai
Yoo Sapanon Ke Fool Yahaa Khilate Hai
Yoo Duwaa Dil Kee Rang Laatee Hai
Barason Ke Begaane, Ulaft Ke Diwaane, Anajaane Ayese Mile
Jaise Manachaahee Duwaan, Baraso Aajamaa Ke Mile

"Kahe Paise Pe Itna"

Chaar Paise Kya Mile
Kya Mile Bhai Kya Mile
Khud Ko Samajh Baithe Khuda
Woh Khuda Hi Jaane Ab Hoga Tera Anjaam Kya
Kahe Paise Pe
Kahe Paise Pe Itna Guroor Kare Hain
Kahe Paise Pe Itna Guroor Kare Hain
Yehi Paisa To
Yehi Paisa To Apno Se Door Kare Hain
Door Kare Hain
Kahe Paise Pe Itna Guroor Kare Hain
Guroor Kare Hain

Sone Chaandi Ke
Unche Mehalo Mein
Dard Zyada Hai, Chain Thoda Hai
Dard Zyada Hai, Chain Thoda Hai
Is Zamane Mein, Paise Walon Ne
Pyaar Cheena Hai, Dil Ko Toda Hai
Pyaar Cheena Hai, Dil Ko Toda Hai
Paise Ki Ehmiyat Ko Inkaar Nahi Hai
Paisa Hi Magar Sab Kuch Sarkaar Nahi Hai
In Ka Insaan Hai, Paisa Paisa Hai
Dil Humara Bhi Tere Jaisa Hai
Hai Bhala Paisa To Bura Bhi Hai
Yeh Zeher Bhi Hai, Yeh Nasha Bhi Hai
Yeh Zeher Bhi Hai, Yeh Nasha Bhi Hai
Yeh Nasha Koyi
Yeh Nasha Koyi Dhoka Zuroor Kare Hain
Yehi Paisa To Haan
Yehi Paisa To Apno Se Door Kare Hain
Door Kare Hain
Kahe Paise Pe Itna Guroor Kare Hain
Guroor Kare Hain

Arre Chale Kahan
Yeh Paison Se Kya Kya Tum Yahan Khreedoge
Dil Khreedoge Ya Ke Jaan Khreedoge
Bazaaron Mein Pyaar Kahan Bikta Hai
Dukaanon Pe Yaar Kahan Bikta Hai
Phool Bik Jaate Hai
Khushboo Bikti Nahi
Jism Bik Jaate Hain
Rooh Bikti Nahi
Chain Bikta Nahi
Khwaab Bikte Nahi
Dil Ke Armaan Betaab Bikte Nahi
Arre Paise Se Kya Kya Tum Yahan Khreedoge
Dil Khreedoge Ya Ke Jaan Khreedoge

Yeh In Hawaon Ka Mol
Kya Doge
Un Ghataon Ka Mol
Kya Doge
Arre In Zameenon Ka Mol Ho Shayad
Aasmanon Ka Mol, Kya Doge
Yeh In Hawaon Ka Mol
Kya Doge
Un Ghataon Ka Mol
Kya Doge
Arre In Zameenon Ka Mol Ho Shayad
Aasmanon Ka Mol, Kya Doge
Paas Paisa Hai To Hai Yeh Duniya Haseen
Duniya Haseen
Ho Zaroorat Se Zyada To Iman-o-yaqeen
Iman-o-yaqeen
Yeh Dimago Mein
Yeh Dimaago Mein Kasoor Kare Hain
Yehi Paisa To
Yehi Paisa To Apno Se Door Kare Hain
Door Kare Hain
Kahe Paise Pe Itna Guroor Kare Hain
Guroor Kare Hain

"Mere Angne Mein"

La La La La...
La La La La...
La La La La...
La La La La...

Mere Angne Mein
(Mere Angne Mein Tumhara Kya Kam Hai) - 2
Joh Hai Naam Wala
Arre Joh Hai Naam Wala Wahi Toh Badnaam Hai
Mere Angne Mein Tumhara Kya Kam Hai

(Jiski Biwi Lambi Usska Bhi Bara Naam Hai) - 2
Kothe Se Lagado
Arre (kothe Se Lagado Seerhi Ka Kya Kam Hai) - 2
Mere Angne Mein Tumhara Kya Kam Hai

Jiski Biwi Moti Usska Bhi Bara Naam Hai
Jiski Biwi Moti, O Moti, O Moti, O Moti Moti Moti
Jiski Biwi Moti Uska Bhi Bara Naam Hai
Bistar Pe Litado
(Bistar Pe Litado Gaade Ka Kya Kam Hai) - 2
Mere Angne Mein Tumhara Kya Kam Hai

(Jiski Biwi Kali Usska Bhi Bara Naam Hai) - 2
Aankhon Mein Basalo
(Aankhon Mein Basalo Surme Ka Kya Kam Hai) - 2
Mere Angne Mein Tumhara Kya Kam Hai

(Jiski Biwi Gori Uska Bhi Bara Naam Hai) - 2
Kamre Mein Bithalo
(Kamre Mein Bithalo Bijli Ka Kya Kam Hai) - 2
Mere Angne Mein Tumhara Kya Kam Hai

(Jiski Biwi Choti Usska Bhi Bara Naam Hai) - 2
God Mein Bithalo, Haan Haan Haan
(God Mein Bithalo Bache Ka Kya Kam Hai) - 2
Mere Angne Mein Tumhara Kya Kam Hai

(Mere Angne Mein Tumhara Kya Kam Hai) - 2
Joh Hai Naam Wala
Arre Joh Hai Naam Wala Wahi Toh Badnaam Hai
Mere Angne Mein, Haan Mere Angne Mein
Haan Mere Angne Mein Tumhara Kya Kam Hai
Make a Free Website with Yola.