"Apna Toh Barah Mahine"

Kaise Manaye Deewali Hum Lala Apna To Barah Mahine Deewala
Hum To Hue Dekho Than Than Gopala
Apna To Baarah Mahine ...

Duniya Ye Babu Badi Besharam Are Karati Hai Champat Parai Rakam
Chalaton Ne Kar Li Hai Mutthi Garam Bilkul Hi Ullu Ke Patthe Hain Hum
Hamare Se To Achha Hai Baniye Ka Sala
Apna To Baarah Mahine ...

Mar Mar Ke Hum Roz Mehnat Kare Aur Yaaron Ko Dekho Tijori Bhare
Din Raat Hum To Gulami Kare Phokat Mein Ye Saand Charen
Bandhke Hamare Hontho Pe Tala
Apna To Baarah Mahine ...

Ham To Khichadi Hi Khaate Rahe Are Halwaa Lafange Udaate Rahe
Ham Muft Mein Jhaadu Lagate Rahe Gangaa Mein Gadhe Nahate Rahe
Daata Teri Akl Ko Hai Kaay Jhala
Apna To Baarah Mahine

"Ijaazat Ho To Hum Aaye"

Kaha Hain Ham Ye Aaj Mat Pucho Ek Jhutha Dilasa Hai
Hamein Mat Is Tarah Taalo Hamara Pyar Pyasa Hai

Jawani Ke Akelepan Ki Ghadiyan Humko Na Bhaae
Ijaazat Ho To Hum Aaye
Humari Bhi Ye Hasrat Hai Kisi Ka Pyar Hum Paye

Kisi Ke Paas Hain Hum To Magar Hai Ab Talaq Ye Duri
Huqm De Do To Hum Kar De Tumhari Ye Kami Puri
Agar Tumsa Mile Koi To Hum Jannat Ko Thukaraye
Ijaazat Ho To Hum Aaye...

Ye Dhadkan Kyun Ye Tadpan Kyu Dard Meetha Sa Kya Hai Ye
Jo Ab Mano To Hum Kah De Jawani Ki Saza Hai Ye
Bina Kaaran Ye Zurmaana Aji Hum Kyu Na Ghabaraye
Ijaazat Ho To Hum Aaye
Make a Free Website with Yola.