"Jeene Ke Ishaare"

Kuch Khushbuyen
Yaadon Ke Jungal Se Beh Chali
Kuch Khidkiyan
Lamhon Ke Dastak Pe Khul Gayi
Kuch Geeth Purane Rakhe The Sirhaane
Kuch Sur Kahin Khoye The Bandish Mil Gaye

Jeene Ke Ishare Mil Gaye
Bichde The Kinare Mil Gaye

Meri Zindagi Main Teri Baarish Kya Hui
Mere Raste Darya Bane Behne Lage
Meri Karvaton Ko Tune Aake Kya Chhua
Kahin Khwab Neendon Ki Gali Rehne Lage

Jeene Ke...Kinare Mil Gaye

Meri Loh Havaaon Se Jhagadkar Lee Uthi
Mere Har Andhere Ko Ujale Pee Gaye
Tune Hasken Mujhse Muskurane Ko Kaha
Mere Man Ke Mausam Gulmohar Se Ho Gaye

Jeene Ke...Kinare Mil Gaye

Kuch Khushbuyen, Saanso Se Saanso Me Ghul Gayi
Kuch Khidikyan, Aankhon Hi Aankhon Me Khul Gayi
Kuch Pyaas Adhuri
Kuch Shyam Sindhoori
Kuch Reshmi Gunahon
Main Rate Dhal Gaye
Jeene Ke Ishare Mil Gaye
Bichde The Kinare Mil Gaye

"Khul Ke Muskuraale"

Khul Ke Muskurale Tu Dard Ko Sharmaney De
Boondon Ko Dhartee Par Saaz Ek Bajaney De

Hawayen Keh Rahee Hain, Aaja Jhoolein Zara
Gagan Ke Gaal Ko Jakey Choolein Zara
Utaar Gham Ke Mozey, Zamein Ko Gungunaney De
Kankaron Ko Talwon Main Gudgudee Machaney De
Khul Ke Muskuraley...Saaz Ek Bajaney De

Jheel Ek Aadat Hai, Tujhmey Hee To Rehtee Hai
Aur Nadee Shararat Hai, Terey Sang Behtee Hai
Har Lehar Yeh Kehtee Hai, Khud Ko Jhoom Janey De
Zindagi Ko Aaj Naya Geet Koi Ganey De
Khul Ke Muskuraley...Saaz Ek Bajaney De

Bansuree Ki Khidkyon Pe Sur Yeh Kyon Thithaktey Hain
Ankh Key Samander Kyon Bewajeh Chalaktey Hain
Titlyan Yeh Kehtee Hain Ab Basant Aaney De
Jungalon Ke Mausam Ko Bastiyon Mein Chaney De.

Khul Ke Muskuraley...Saaz Ek Bajaney De

"Khushiyon Ki Koshish"

Khushyon Kee Koshish Main Har Din Dard Jhamela Hai
Baaton Ko Tim Tim Karne Do Ghoop Andhera Hai

Yahaan Se Aagey Seedhe Jaoo
Baanyee Taraf Jo Rasta Hai
Waheen Nahakar Dhoop Hai Baithee
Wahaan Pe Mausam Hansta Hai
Baitha Hai Ek Khwab Waheen Pe Bada Akela Hai

Khushyon Kee Koshish...Ghoop Andhera Hai

Paani Wali In Aankhon Ko
Geet Bhi Gana Hota Hai
Honth Agar Ziddi Hon To
Muskaan Ko Aana Hota Hai
Khel Purana Haiye Hamney Kitna Khela Hai

Khushyon Kee Koshish...Ghoop Andhera Hai

Aao Chal Kar Usey Chhuda Lein
Saans Jo Girvee Rakhkhee Thee
Yaad Karein Woh Kachchee Imlee
Bachpan Main Jo Chakkhee Thee
Gham Kee Judwan Behan Khushee Hai, Jeewan Mela Hai

Khushiyon Kee Koshish...Ghoop Andhera Hai

Chalo Pahaade Dohraathe Hai
Yeh Pahaad Sa Jeevan Hai
Rat Lenge Hum Tujhe Zindagi
Ungli Par Har Palcchin Hai
Apne Aage Chattani Sa, Jeevan Dhela Hai

Khushyon Kee Koshish...Ghoop Andhera Hai

Neend Ke Gaalon Par Chutki To
Meethi Gaali Deti Hai
Dukh Ke Pal Mein Baat Pyar Ki
Man Ko Lali Deti Hai
Dekho Peeche Aangan Mein, Ek Naya Savera Hai

Khushyon Kee Koshish...
Ghoop Andhera Hai...

"Kuchh Pal"

Kuch Pal Palkhon Mein Palte Hain
Kuch Pal Aankhon Mein Jalte Hain
Toota Sa Khaab Lekar, Door Late Huye
Kuch Pal Karvat Badaltein Hain

Lavson Mein Khud Ko Chupaaye, Paheli Se
Ya Sang Sang Muskuraye, Saheli Se
Kuch Pal Saanson Ko Khalte Hain

Rishton Ke Raaston Par Jhilmilate Hain
Nainon Ki Kashtyon Mein Doob Jaate Hain
Kuch Pal Sooraj Se Dalte Hain

Yeh Pal To Hain Musafir, Chalte Jaayenge
Dheere Dheere Lamha Lamha Bhool Jayenge
Apni Dhun Mein Tehelte Hain
Make a Free Website with Yola.