"Aayi Zanjeeer Ki Jhankaar"

Aayi Zanjeer Ki Jhankaar Khuda Khair Kare
Dil Hua Kiska Giraftaar Khuda Khair Kare

Jaane Yeh Kaun Meri Rooh Ko Chhukar Guzara
Ek Qayaamat Hui Bedaar Khuda Khair Kare

Lamha Meri Aankhon Mein Kheencha Jaati Hai
Ek Chamakti Hui Talwaar Khuda Khair Kare

Khoon Dil Ka Na Chhalak Jaaye Kahi Aankhon Se
Ho Na Jaaye Kahi Izahaar Khuda Na Kare

"Aye Dil E Nadan"

Aye Dila-ye-naadaan Aye Dila-ye-naadaan
Aarajoo Kyaa Hain, Justajoo Kyaa Hain

Hum Bhatakate Hain, Kyon Bhatakate Hain Dashta-o-seharaa Mein
Ayesaa Lagataa Hain, Mauj Pyaasee Hain Apane Dareeyaa Mein
Kaisee Ulazan Hain, Kyon Ye Ulazan Hain
Yek Saayaa Saa, Rubaru Kyaa Hain

Kyaa Kayaamat Hain, Kyaa Musibat Hain
Kah Naheen Sakate, Kis Kaa Aramaan Hain
Jindagee Jaise Khoyee Khoyee Hain, Hairaan Hairaan Hain
Ye Jameen Choooop Hain, Aasamaan Choop Hain
Fir Ye Dhadakan See Chaar Soo Kyaa Hain

Aye Dila-ye-naadaan Ayesee Raahon Mein Kitane Kaante Hain
Aarajooon Ne Har Kisee Dil Ko Dard Baante Hain
Kitane Ghaayal Hain, Kitane Bismil Hain
Is Khudaee Mein Yek Too Kyaa Hain

"Aye Khuda Shukra Tera"

(aye Khuda Shukra Tera
Aye Khuda Shukra Tera
Shukra Tera - 2
Yeh Mera Yaar Chala Baandhkar Sar Par Sehra) - 2

Aaisa Sehra Gul-o-guljaar Na Dekha Na Suna
Aaisa Naushaah Mere Yaar Na Dekha Na Suna
Aaisa Bemiz Haseen Pyar Na Dekha Na Suna
Aaisa Dildaar Taraja Na Dekha Na Suna
Saari Duniya - 2 Ki Zubaanon Pe Hai Ghar Ghar Sehra
Yeh Mera Yaar Chala Baandhkar Sar Par Sehra
Aye Khuda Shukra Tera
Aye Khuda Shukra Tera
Shukra Tera - 2
Yeh Mera Yaar Chala Baandhkar Sar Par Sehra

Taang Kar Laaye Gaye Chaand Sitaaren Ismein
Aur Gunje Gaye Jannat Ke Nazaren Ismein
Chun Diye Phool Gulistaan Ke Saare Ismein
Phool Kya Dil Bhi Biroye Gaye Hai Hamare Ismein
Jane Kin Haathon Se - 2 Aaya Hai Bankar Yeh Sehra
Yeh Mera Yaar Chala Baandhkar Sar Par Sehra
Aye Khuda Shukra Tera
Aye Khuda Shukra Tera
Shukra Tera - 2
Yeh Mera Yaar Chala Baandhkar Sar Par Sehra

Gulkho Kis Na Jara Si Aadaayenn Ismein
Hai Mehakti Hui Zulfon Ki Ghataayen Ismein
Hai Sabhi Dard Ki Maaron Ki Dawayen Ismein
Saare Dilwalon Ki Duwaaen Hai Shaamil Ismein
Baat Toh Yeh Hai - 2 Ke Dilbar Ka Hai Dilbar Sehra
Yeh Mera Yaar Chala Baandhkar Sar Par Sehra
Aye Khuda Shukra Tera
Aye Khuda Shukra Tera
Shukra Tera - 2
Yeh Mera Yaar Chala Baandhkar Sar Par Sehra

Waah Kya Baat Hai Kya Shaan Hai Subhaan Allah
Iske Har Phool Mein Ek Jaan Hai Subhaan Allah
Har Nazar Dekh Ke Hairaan Hai Subhaan Allah
Jisne Dekha Wahi Qurbaan Hai Subhaan Allah
Wakaiya Yeh Hai - 2 Ke Betar Hai Betar Sehra
Yeh Mera Yaar Chala Baandhkar Sar Par Sehra
Aye Khuda Shukra Tera
Aye Khuda Shukra Tera
Shukra Tera - 2
Yeh Mera Yaar Chala Baandhkar Sar Par Sehra

"Dhalti Jaaye Raat"

Dhalti Jaaye Raat, Kehele Dil Ki Baat,
Shamma Parawane Ka Na Hoga Phir Saath,
Dhalti Jaaye Raat, Kehele Dil Ki Baat
Shamma Parawane Ka Na Hoga Phir Saath,
Dhalti Jaaye Raat..

Mast Nazare Chand Sitaare,
Raat Ke Mehemaan Hai, Yeh Saare,
Ut Jaayegi, Shab Ki Meheefil,
More Seher Ke Sunke Nakaare,
Hona Na Ho, Dubara Mulaqaat,
Hmmmm...
Dhalti Jaaye Raat..

Neend Ke Bas Mein Khoyi Khoyi,
Kul Duniya Hai, Soyi Soyi,
Aise Mein Bhi Jaag Raha Hai,
Ham Tum, Jaisa Koyi Koyi,
Kya Haseen Hai Taaron Ki Baraat,
Hmmmm...
Dhalti Jaaye Raat..

Jo Bhi Nigahen Chaar Hai Karata,
Uspe Zamana Vaar Hai Karata,
Raah-e-wafa Ka, Ban Ke Raahi,
Phir Bhi Tumeh Dil, Pyar Hai Karata,
Baita Na Ho Leke Khoyi Dhaal,
Hmmmm...

Dhalti Jaaye Raat, Kehele Dil Ki Baat,
Shamma Parawane Ka Na Hoga Phir Saath,
Dhalti Jaaye Raat, Kehele Dil Ki Baat
Shamma Parawane Ka Na Hoga Phir Saath,
Dhalti Jaaye Raat...

"Hariyala Banna Aaya Re"

Hariyaala Banna Aaya Re Hariyaala Banna Aaya Re
Choti Goondhe Ghataa, Paanv Choome Hina
Maang Moti Bhari Maathe Jhoomar Saja
Banni Ke Jo Man Bhaaya Re
Hariyaala Banna Aaya Re

Mil Gayeen Raahaten
Jaag Utheen Kismaten
Chhod Kar Aasmaan A Gaeen Jannaten
Hooron Ne Shagan Gaya Re
Hariyaala Bannaa...

Devataaon Ke Man Hain Kushi Se Magan
Pi Se Milane Chali Saj Ke Razia Dulhan
Kushiyon Ke Chaman Laaya Re
Hariyaala Bannaa...

Ya Kuda Ye Kushi Ye Masarrat Rahe
Doolha Dulhan Ki Jodi Salaamat Rahe
Rahati Duniya Talak Ye Muhabbat Rahe
Saare Aalam Mein Malika Ki Azamat Rahe
Rahamat Ka Samaan Chhaaya Re
Hariyaala Bannaa...

"Jalta Hai Badan"

Jalta Hai Badan
Ho ... Hay! Jalta Hai Badan
Pyaas Bhadaki Hai
Pyaas Bhadaki Hai Sare Shaam Se Jalta Hai Badan - 2
Ishq Se Kah Do Ki Le Aaye Kaheen Se Saavan
Pyaas Bhadaki Hai Sare Shaam Se Jalta Hai Badan
Jalta Hai Badan - 2

Jaane Kab Raat Dhale, Subah Tak Kaun Jale
Daur Par Daur Chale, Aao Lag Jaao Gale
Aao Lag Jaao Gale Kam Ho Seene Ki Jalan
Pyaas Bhadaki Hai Sare Shaam Se Jalta Hai Badan
Jalta Hai Badan - 3
O Aah! Jalta Hai Badan

Dekh Jal Jaayenge Ham, Is Tabassum Ki Kasam
Ab Nikal Jaayega Dam, Tere Baahon Mein Sanam
Dil Pe Rakh Haath Ki Tham Jaaye Dil Ki Dhadakan
Pyaas Bhadaki Hai Sare Shaam Se Jalta Hai Badan
Jalta Hai Badan
Ishq Se Kah Do Ke Le Aaye Kaheen Se Saavan
Pyaas Bhadaki Hai Sare Shaam Se Jalta Hai Badan
Jalta Hai Badan - 2
O ... Haay Jalta Hai Badan
Jalta Hai Badan

"Khwaab Bankar Koi Aayega"

Choom Kar Raat Jo Sulaayegi To Neend Aayegi
Khwaab Ban Kar Koi Aayega To Neend Aayegi
Ab Vahi A Ke Sulaayega To Neend Aayegi
Khwaab Ban Kar ...

Baat Jo Sirf Nigaahon Se Kahi Jaati Hai
Koi Honthon Se Sunaayega To Neend Aayegi
Khwaab Ban Kar ...

Narm Zulfon Ki Mahak Garm Badan Ki Khushabu
Chupake Chupake Vo Churaayega To Neend Aayegi
Khwaab Ban Kar ...

Jism Haathon Ki Haraarat Se Pighal Jaayega
Aag Rag Rag Mein Lagaayega To Neend Aayegi
Khwaab Ban Kar
Make a Free Website with Yola.