"Aur Nahin Bas Aur Nahin"

Aur Nahi Bas Aur Nahi, Gam Ke Pyaale Aur Nahi
Dil Mein Jagah Nahi Baaki, Rok Nazar Apni Saaki To
Aur Nahin Bas ...

Sapane Nahi Yahaan Tere, Apne Nahi Yahaan Tere
Sachaai Ka Mol Nahi, Chup Ho Ja Kuch Bol Nahi
Pyaar Preet Chillaayega To, Apna Gala Ganvaayega
Patthar Rakh Le Seene Par, Kasamein Kha Le Jeene Par
Gaur Nahi Hai Aur Nahi, Parwaano Par Gaur Nahi
Aansu Aansu Dhalte Hain, Angaaron Par Chalte Hain To
Aur Nahi Bas Aur Nahi ...

Kitna Padhu Zamaane Ko, Kitna Gadhoon Zamaane Ko
Kaun Gunon Ko Ginta Hai, Kaun Dukhon Ko Chunta Hai
Hamdardi Kaafoor Hui, Neki Chakanaachoor Hui
Ji Karta Bas Kho Jaaoon, Kafan Odhakar So Jaaoon
Daur Nahi Ye Aur Nahi, Insaanon Ka Daur Nahi
Farz Yahaan Par Farzi Hai, Asli To Khudgarzi Hai To
Aur Nahi Bas Aur Nahi ...

Bimaar Ho Gayi Duniyaa, Bekaar Ho Gayi Duniya
Marne Lagi Sharam Ab To, Bikne Lage Sanam Ab To
Ye Raat Hai Nazaaron Ki, Gairon Ke Sath Yaaron Ki
Ji Hai Bigaad Doon Saari, Duniya Ujaad Doon Saari
Zor Nahi Hai Zor Nahi, Dil Pe Kisi Ka Zor Nahi
Koi Yaad Machal Jaaye, Saara Aalam Jal Jaaye To
Aur Nahi Bas Aur Nahi

"Haye Haye Yeh Majboori"

Are Hai Hai Yeh Majboorii, Yeh Mausam Aur Yeh Doori Mujhe Pal Pal Hai Tadpaaye
Teri Do Takiyan Di Naukri Te Mera Lakhon Kaa Saawan Jaaye Re
Are Hai Hai Yeh....

Kitne Saawan Beet Gaye, Baithi Hoon Aas Lagaaye
Kiss Saawan Mein Mile Sajanwa, Woh Saawan Kab Aaye Kab Aaye
Madhur Milan Kaa Yeh Saawan Hathon Se Nikla Jaaye
O Teri Do Takiyan....

Prem Ka Aisa Bandhan Hai Jo Bandh Ke Phir Naa Toote
Are Naukari Kaa Hai Kya Bharosa, Aaj Mile Kal Chhoote, Kal Choote
Ambar Pe Hai Dhara Swayam Aur Phir Bhi Too Ghabraye
O Teri Do Takiyan

"Main Naa Bhoolunga"

Mai Naa Bhooloongaa, Main Naa Bhooloongee
Mai Naa Bhooloongaa, Main Naa Bhooloongee
In Rasamon Ko, In Kasamon Ko, In Rishte Naaton Ko
Mai Naa Bhooloongaa, Main Naa Bhooloongee

Chalo Jag Ko Bhoole, Khayaalon Mein Zoole
Bahaaron Mein Dole, Sitaaron Ko Chhoo Le
Aa Teree Main Maang Sawaaru, Too Dulhan Ban Jaa
Maang Se Jo Dulhan Kaa Rishtaa, Main Naa Bhooloongee

Samay Kee Dhaaraa Me, Umar Bah Jaanee Hai
Jo Ghadee Jee Lenge, Wahee Rah Jaanee Hai
Mai Ban Jaaoo Saans Aakharee, Too Jeewan Ban Jaa
Jeewan Se Saanson Kaa Rishtaa, Main Naa Bhooloongee

Barasataa Saawan Ho, Mahakataa Aangan Ho
Kabhee Dil Doolhaa Ho, Kabhee Dil Dulhan Ho
Gagan Ban Kar Zoome, Pawan Ban Kar Ghoome
Chalo Raahe Mode, Kabhee Naa Sang Chhode
Kahee Pe Chhoop Jaanaa Hai, Najar Naheen Aanaa Hai
Kahee Pe Bas Jaayenge, Ye Din Kat Jaayenge
Are Kyaa Baat Chalee, Wo Dekho Raat Dhalee
Ye Baate Chalatee Rahe, Ye Raate Dhalatee Rahe
Mai Man Ko Mandir Kar Daaloo, Too Poojan Ban Jaa
Mandir Se Poojaa Kaa Rishtaa Main Naa Bhooloongee

Make a Free Website with Yola.