"Jeejaji Jeejaji"

Jeejaaji Jeejaaji Hone Vaale Jeejaaji
Shaadi Ke Phere Hain Saat Aur Hamaari Sharten Saat
Tumko Ho Manzuur Agar Tabhi Milega Deedi Ka Haath
Jeejaaji Jeejaaji ...

Pehali Shart Aapko Bata Den
Ki Deedi Khaana Nahi Pakaayegi
Are Iski Mujhe Parvaah Nahi
Hotel Se Khaana Manga Luunga

Dusari Ye Shart Hai Hamari
Ki Nain Kisi Se Nahi Ladaaoge
Are Deewana Huun In Naino Ka
In Se Main Nain Ladaauunga
Saali O Saaleeji Hone Vaali Saaleeji
Jeejaaji Jeejaaji Hone Vaale Jeejaaji

Teesari Ye Shart Hai Hamaari
Ki Seedhe Daftar Se Ghar Aaoge
Oy Ghar Ke Siva Jaana Kahan
Ghar Mein Hi Daftar Bana Luunga

Aur Chauthi Shart Hai Hamaari
Ki Deedi Ko Tum Saari Kamaai Doge
Na Rakhuunga Main Kuch Apne Liye
Sab Kuch Inhen Main De Duunga
Saali O Saaleeji Hone Vaali Saaleeji
Jeejaaji Jeejaaji Hone Vaale Jeejaaji

Aur Paanchavi Shart To Suniye
Deedi Jab Bhi Maike Mein Jaayegi
To Jaldi Wapas Nahi Bulaaoge
Are Ghar-vaali Bin Ghabaraaya Dil
To Saaleeji Tumko Bula Luunga

Chhathi Shart To Suniye
Deedi Ki Taareef Mein Hamesha
Nai Kavita Roz Sunaaoge
Kavita Meri Na Bhaayegi To
Tulsi Ke Dohe Suna Duunga

Saatveen Ye Shart Hai Hamaari
Ki Deedi Bachche Nahi Khilaayegi
Are Deedi Ko Kashht Na Duunga Kabhi
Bachcho Ko Kud Hi Sambhaaluunga

Meri Bhi Ek Shart Suniyeji
Are Bas, Bas, Bas
Shaadi Zara Hone To Do
Jo Bhi Kahogi Main Maanuunga
Beeviji Beeviji Hone Vaali Beeviji

"Madhuban Khushboo Deta Hai"

Madhuban Khushboo Deta Hai, Saagar Saawan Deta Hai
Jeena Uska Jeena Hai, Jo Auro Ko Jeewan Deta Hai
Madhuban Khushboo Deta Hai…

Suraj Na Ban Paaye To, Banke Deepak Jalta Chal -2
Phool Mile Ya Angaare, Sach Ki Raaho Pe Chalta Chal -2
Pyaar Dilo Ko Deta Hai, Ashqo Ko Daaman Deta Hai
Jeena Uska Jeena Hai, Jo Auro Ko Jeewan Deta Hai
Madhuban Khushboo Deta Hai…

Chalti Hai Lehraake Pawan, Ke Saans Sabhi Ki Chalti Rahe -2
Logo Ne Tyaag Diye Jeewan, Ke Preet Dilo Mein Palti Rahe -2
Dil Woh Dil Hai Jo Auro Ko, Apni Dhadhkan Deta Hai
Jeena Uska Jeena Hai, Jo Auro Ko Jeewan Deta Hai
Madhuban Khushboo Deta Hai…

Main Na Bhoolunga, Main Na Bhoolungi

Movie Name: Roti Kapda Aur Makaan (1974)
Singer(s): Mukesh, Lata Mangeshkar
Music Director(s): Laxmikant, Pyarelal
Lyricist(s): Santosh Anand

Main Na Bhoolunga, Main Na Bhoolungi
In Rasmo Ko In Qasmo Ko In Rishte Naato Ko
Main Na Bhoolunga...

Chalo Jag Ko Bhoolein, Khayaalo Mein Jhoolein
Bahaaro Mein Dole, Sitaaro Ko Chhoolein
Aa Teri Main Maang Sanwaaru Tu Dulhan Ban Jaaye
Maang Se Jo Dulhan Ka Rishta Main Na Bhoolungi...

Samay Ki Dhaara Mein, Umar Beh Jaani Hai
Jo Ghadi Jee Lenge, Wahi Reh Jaani Hai
Main Ban Jaau Saans Aakhri Tu Jeewan Ban Jaaye
Jeewan Se Saanso Ka Rishta Main Na Bhoolungi...

Barasta Saawan Ho, Mahekta Aangan Ho
Kabhi Dil Dulha Ho, Kabhi Dil Dulhan Ho
Gagan Bankar Jhoomein, Pawan Bankar Jhoomein
Chalo Ham Raah Modein, Kabhi Na Sang Chhodein
Taras Chakh Jaana Hai, Nazar Chakh Jaana Hai
Kahi Pe Bas Jaayenge, Ye Din Kat Jaayenge
Arre Kya Baat Chali, Woh Dekho Raat Dhhali
Ye Baatein Chalti Rahe, Ye Raatein Dhhalti Rahe
Main Man Ko Mandir Kar Daalu Tu Pooja Ban Jaaye
Mandir Se Pooja Ka Rishta Main Na Bhoolungi…
Make a Free Website with Yola.