"Aye Mere Sanam"

--FEMALE--
Aa Aa, Aa Aa Aa Aa
(O Mere Sanam, O Mere Sanam
Do Jism Magar Ek Jaan Hain Hum
Ek Dil Ke Do Armaan Hain Hum) - 2
O Mere Sanam, O Mere Sanam
Tan Saunp Diya, Man Saunp Diya
Kuch Aur To Mere Paas Nahin
Jo Tumse Hai Mere Hamdam
Bhagwaan Se Bhi Voh Aas Nahin - 2
Jis Din Se Hue Ek Duje Ke
Is Duniya Se Anjaan Hain Hum
Ek Dil Ke Do Armaan Hain Hum
O Mere Sanam, O Mere Sanam

--MALE--
Sunte Hain Pyaar Ki Duniya Mein
Do Dil Mushkil Se Samaate Hain
Kya Gair Vahan Apnon Tak Ke
Saaye Bhi Na Aane Paate Hain - 2
Humne Aakhir Kya Dekh Liya
Kya Baat Hai Kyoon Hairaan Hain Hum
Ek Dil Ke Do Armaan Hain Hum
O Mere Sanam, O Mere Sanam

--FEMALE--
Mere Apne, Apna Yeh Milan
Sangam Hai Yeh Ganga Jamuna Ka
Jo Sach Hai Saamne Aaya Hai
Jo Beet Gaya Ek Sapna Tha - 2
Yeh Dharti Hai Insaanon Ki
Kuch Aur Nahin Insaan Hain Hum
Ek Dil Ke Do Armaan Hain Hum

--MALE--
O Mere Sanam, O Mere Sanam
Do Jism Magar Ek Jaan Hain Hum
Ek Dil Ke Do Armaan Hain Hum
O Mere Sanam, O Mere Sanam

--FEMALE--
(O, O, O)

"Afreen Afreen"

Husn E Jana Ki Tareef Mumkin Nahi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen

Tu Bhi Daikhay Agar To Kahay Humnasheen
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen

Aisa Daikha Nahi Khoobsurat Koi
Jism Jaisay Ajanta Ki Moorat Koi
Jism Jaisay Nigaahon Pay Jaado Koi
Jism Naghma Koi, Jism Khushboo Koi
Jism Jaisay Machalti Hoi Raagni
Jism Jaisay Mehekti Hoi Chandni
Jism Jaisay Ke Khilta Hoi Aik Chaman
Jism Jaisay Ke Sooraj Ki Pehli Kiran
Jism Tarsha Hoa Dil-kash O Dil-nasheen
Sandali Sandali, Marmari Marmari
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen

Husn E Jana Ki Tareef Mumkin Nahi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen

Chehra Ek Phool Ki Tarah Shadab Hai
Chehra Uska Hai Ya Koi Mehtaab Hai
Chehra Jaise Ghazal, Chehra Jaan E Ghazal
Chehra Jaise Kali, Chehra Jaise Kanwal
Chehra Jaise Tasawwar Bhi Tasveer Bhi
Chehra Ek Khwaab Bhi, Chehra Taabeer Bhi
Chehra Koi Alif Lail Ki Dastaan
Chehra Ek Pal Yaqeen, Chehra Ek Pal Gumaan
Chehra Jaisa Ki Chehra Kaheen Bhi Naheen
Maahroo Maahroo, Mehjabeen Mehjabeen
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen

Husn E Jana Ki Tareef Mumkin Nahi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen

Aankhein Daikhe To Mein Daikhta Reh Gaya
(Jaam Do Aur Donon He Do Aatisha)
Aankhein Ya Maikade Ke Yeh Do Baab Hein
Aankhein Inko Kahoon Ya Kahoon Khuwaab Hein
Aankhein Neechi Huwi To Haya Bun Gayi
Aankhein Unchi Howi To Dua Bun Gayi
Aankhein Uth Ker Jhuki To Ada Bun Gayi
Aankhein Jhuk Ker Uthi To Qaza Bun Gayi
Aankhein Jin Mein Qaid Aasman O Zameen
Nargisi Nargisi, Surmayi Surmayi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen

Husn E Jana Ki Tareef Mumkin Nahi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen

Zulf E Janaan Ki Bhi Lambi Hai Daastan
Zulf Ki Mere Dil Per Hein Parchiyaan
Zulf Jaisay Ke Umdi Howi Ho Ghata
Zulf Jaisay Ke Ho Koi Kaali Bala
Zulf Uljhay To Dunya Pareshaan Ho
Zulf Suljhay To Yeh Zeest Aasan Ho
Zulf Bikhray Siyah Raat Chaanay Lagay
Zulf Lehraye To Raat Janay Lagay
Zulf Zanjeer Hai Phir Bhi Kitni Haseen
Reshmi Reshmi, Amberi Amberi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen

Husn E Jana Ki Tareef Mumkin Nahi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen

"Bol Radha Bol" 

Mere Man Ki Ganga Aur Tere Man Ki Jamuna Ka
Bol Radha Bol Sangam Hoga Ke Nahin
Are Bol Radha Bol Sangam Hoga Ke Nahin
Nahin...Nahin...Nahin

Kitni Sadiyan Beet Gayi Hain Hai Tujhe Samjhane Mein
Mere Jaisa Dheeraj Wala Hai Koi Aur Zamane Mein
Dil Ka Badhta Bojh Kabhi Kam Hoga Ke Nahin
Bol Radha Bol Sangam Hoga Ke Nahin
Nahin...Nahin...Kabhi Nahin...Chup

Do Nadiyon Ka Mail Agar Itna Paavan Kehlata Hai
Kyon Na Jahan Do Dil Milte Hain
Swarg Wahin Ban Jata Hai
Har Mausam Hai Pyar Ka Mausam Hoga Ke Nahin
Bol Radha Bol Sangam Hoga Ke Nahin
Jaoo Na Kyon Satate Ho...Hoga ...Hoga... Hoga


"Dost Dost Na Raha"

Dost Dost Na Raha, Pyaar Pyaar Naa Raha
Zindagi Hamein Tera, Aitbaar Na Raha, Aitbaar Na Raha

Amaanatein Main Pyaar Ki, Gaya Tha Jisko Saunp Kar
Woh Mere Dost Tum Hi The, Tumhi To The
Jo Zindagi Ki Raah Me Bane The Mere Hamsafar
Woh Mere Dost Tum Hi The, Tumhi To The
Saare Bhed Khul Gaye, Raazdaar Na Raha
Zindagi Hamein Tera, Aitbaar Na Raha, Aitbaar Na Raha
Dost Dost Na Raha...

Safar Ke Waqt Mein Palak Pe Motiyo Ko Taulti
Woh Tum Na Thi To Kaun Tha Tumhi To Thi
Nashe Ki Raat Dhhal Gayi Ab Khumaar Na Raha
Zindagi Hamein Tera, Aitbaar Na Raha, Aitbaar Na Raha
Dost Dost Na Raha...

"Har Dil Jo Pyar Karega"

Har Dil Jo Pyaar Karega, Voh Gaana Gaayega - 2
Deewana Sekdon Mein Pehchaana Jaayega - 2
Deewana
Aap Hamaare Dil Ko Churaakar Aankh Churaaye Jaate Hain
Yeh Ek Tarfa Rasm-e-vafa Hum Phir Bhi Nibhaaye Jaate Hain
Chaahat Ka Dastoor Hai Lekin Aap Ko Hi Maaloom Nahin, O
Jis Mehfil Mein Shamma Ho Parwaana Jaayega
Deewana Sekdon Mein Pehchaana Jaayega
Deewana

Har Dil Jo Pyaar Karega, Voh Gaana Gaayega
Deewana Sekdon Mein Pehchaana Jaayega
Deewana
Bhooli Bisri Yaadein Mein Hanste Gaate Bachpan Ki
Raat Beraat Chali Aati Hai Neend Churaane Nainan Ki
Ab Keh Doongi Karte Karte Kitne Saawan Beet Gaye, Ho
Jaane Kab In Aankhon Ka Sharmaana Jaayega
Deewana Sekdon Mein Pehchaana Jaayega
Deewana

Har Dil Jo Pyaar Karega, Voh Gaana Gaayega
Deewana Sekdon Mein Pehchaana Jaayega
Deewana
Apni Apni Sabne Keh Li, Lekin Hum Chupchaap Rahe
Dard Paraaya Jisko Pyaara, Voh Kya Apni Baat Kahe
Khaamoshi Ka Yeh Afsaana Reh Jaayega Baad Mere, O
Apna Ke Har Kisi Ko Begaana Jaayega
Deewana Sekdon Mein Pehchaana Jaayega

Har Dil Jo Pyaar Karega, Voh Gaana Gaayega
Deewana Sekdon Mein Pehchaana Jaayega

Deewana

Deewana

"Mujhe Buddah Mil Gaya"

 Main Kyaa Karun Raam Mujhe Buddha Mil Gayaa
Haay, Haay Buddha Mil Gayaa

Main Gudiyaa Hasin Meri Morani Si Chaal Hai
Sar Mein Safed Usake Dada Ji Sa Baal Hai
Bigadega Har Kaam Mujhe Buddha Mil Gayaa
Main Kyaa Karun Raam Mujhe Buddha Mil Gayaa...

Sab Jo Gaye Baag Meraa Buddha Bhi Chalaa Gaya
Sab To Laaye Phuul Buddha Gobhi Le Kar Aa Gaya
Main Ho Gai Badnaam Mujhe Buddhaa Mil Gaya
Main Kya Karun Raam Mujhe Buddha Mil Gaya ...

Pariyon Ke Desh Mujhe Buddha Le Kar Aa Gaya
Main Ne Jo Uthaya Ghuunghat Buddha Gussaa Khaa Gaya
Ab Kyaa Hogaa Anjaam Mujhe Buddha Mil Gaya
Main Kya Karun Raam Mujhe Buddha Mil Gaya


"O Mehbooba"

O Mehbooba, O Mehbooba
Tere Dil Ke Paas Hi Hai Meri Manzil-e-mashhood - 2
Voh Kaunsi Mehfil Hai Jahan Tu Nahin Maujood - 2
O Mehbooba, O Mehbooba
Tere Dil Ke Paas Hi Hai Meri Manzil-e-mashhood - 2
(Kis Baat Pe Naaraaz Ho, Kis Baat Ka Hai Gham
Kis Soch Mein Doobi Ho Tum, Ho Jaayega Sangam) - 2
O Mehbooba, O Mehbooba
Tere Dil Ke Paas Hi Hai Meri Manzil-e-mashhood - 2
(Guzroon Main Idhar Se Kabhi, Guzroon Main Udhar Se
Milta Hai Har Ek Raasta Jaakar Tere Ghar Se) - 2
O Mehbooba, O Mehbooba
Tere Dil Ke Paas Hi Hai Meri Manzil-e-mashhood - 2
(Baahon Ke Tujhe Haar Main Pehnaaoonga Ek Din
Sab Dekhte Reh Jaayenge, Le Jaaoonga Ek Din) - 2
O Mehbooba, O Mehbooba
Tere Dil Ke Paas Hi Hai Meri Manzil-e-mashhood
Voh Kaunsi Mehfil Hai Jahan Tu Nahin Maujood
O Mehbooba, O Mehbooba
Tere Dil Ke Paas Hi Hai Meri Manzil-e-mashhood - 2


"Yeh Mera Prem Patra"

Haseena Likhoon, Meherbaan Likhoon, Ya Dilruba Likhoon
Hairaan Hoon Ki Aap Ko Is Khat Mein Kya Likhoon
Yeh Mera Prem Patra Padh Kar
Ke Tum Naaraaz Na Hona
Ke Tum Meri Zindagi Ho
Ke Tum Meri Bandagi Ho

Tujhe Maein Chand Kehta Tha, Magar Usme Bhi Daag Hai
Tujhe Suraj Maein Kehta Tha, Magar Usme Bhi Aag Hai
Tujhe Itna Hi Kehta Hoon
Ki Mujhko Tumse Pyar Hai
Tumse Pyar Hai, Tumse Pyar Hai
Yeh Mera Prem Patra Padh Kar ...

Tujhe Ganga Maein Samjhoon Ga
Tujhe Jamuna Maein Samjhoon Ga
Tu Dil Ke Paas Hai Itni
Tujhe Apna Maein Samjhoon Ga
Agar Mar Jaoon Rooh Bhatke Gi
Tere Intezaar Mein, Intezaar Mein, Intezaar Mein
Yeh Mera Prem Patra Padh Kar...

Make a Free Website with Yola.