"Deewane Dil Ko Jaane Na"

Deewane Dil Ko Jaane-e-jaan Kahin Aaram Nahin
Deewane Dil Ko Jaane-e-jaan Kahin Aaram Nahin
Deewane Dil Ko Jaane-e-jaan Kahin Aaram Nahin, Kahin Aaram Nahin
Teri Chaahat Ke Siwa Mujhko Dooja Kaam Nahin
Deewane Dil Ko Jaane-e-jaan Kahin Aaram Nahin

Chalte Chalte Rukte Rukte Aise Nakhre Dikhaake Chaldiye, Chaldiye

Chori Chori Chupke Chupke Mere Dil Ko Chura Ke Chaldiye, Chaldiye

Mere Honthon Pe Tere Siwa Koyi Ab Naam Nahin, Koyi Ab Naam Nahin
Teri Chaahat Ke Siwa Mujhko Dooja Kaam Nahin

Ho, Deewane Dil Ko Jaane-e-jaan Kahin Aaram Nahin

Aa Paas Mere Zara Baith Idher
Ab Dekhoon Tujhe Main Har Ghadi, Har Ghadi

Mere Dil Ki Lagi Aur Barne Lagi
Chup Chaap Magar Tu Kyon Khadi, Kyon Khadi

Tujhe Dekhe Bina Guzare Woh Koyi Shaam Nahin, Woh Koyi Shaam Nahin
Teri Chaahat Ke Siwa Mujhko Dooja Kaam Nahin
Deewane Dil Ko Jaane-e-jaan Kahin Aaram Nahin
Deewane Dil Ko Jaane-e-jaan Kahin Aaram Nahin, Kahin Aaram Nahin
Teri Chaahat Ke Siwa Mujhko Dooja Kaam Nahin


"Dil Yeh Bahalta Nahin"

Dil Yeh Bahalta Nahin Hai
Jab Tak Na Dekhoon Tujhe
Har Pal Karoon Intezaar
Kyon Ho Gaya Mujhko Pyaar
Deewana Ho Gaya Dil
Deewana Ho Gaya Dil
Karoon Kya
Kuch To Bata Jaan-e-jaan

Dil Yeh Bahalta Nahin Hai
Jab Tak Na Dekhoon Tujhe
Har Pal Karoon Intezaar
Kyon Ho Gaya Mujhko Pyaar
Deewana Ho Gaya Dil
Deewana Ho Gaya Dil
Karoon Kya
Kuch To Bata Jaan-e-jaan

Pehle Bhi Hum Tum Mile The
Par Aisi Haalat Na Thi
Pehle Bhi Bechain Tha Dil
Aise Qayamat Na Thi

Khud Ko Na Rok Paoon
Bas Tere Paas Aoon
Ke Dil Pe Zor Chalta Nahin

Dil Yeh Bahalta Nahin Hai
Jab Tak Na Dekhoon Tujhe
Har Pal Karoon Intezaar
Kyon Ho Gaya Mujhko Pyaar

Deewana Ho Gaya Dil
Deewana Ho Gaya Dil
Karoon Kya
Kuch To Bata Jaan-e-jaan

Duniya Lage Hai Nayi Si
Chaahat Puraani Lage

Main Hi Nahin Hoon Deewana
Tu Bhi Deewani Lage

Tune Jo Naam Kaha Hai
Maine Woh Sun Liya Hai
Tumhaara Dil Sambhalta Nahin

Dil Yeh Bahalta Nahin Hai
Jab Tak Na Dekhoon Tujhe
Har Pal Karoon Intezaar
Kyon Ho Gaya Mujhko Pyaar

Deewana Ho Gaya Dil
Deewana Ho Gaya Dil
Karoon Kya
Kuch To Bata Jaan-e-jaan 


"Taro Ko Mohabbat Amber Se"

(Taaron Ko Mohabbat Ambar Se
Phoolon Ko Mohabbat Shabnam Se
Jaise Dil Ko Mohabbat Dilbar Se) -2

Humein Aise Mohabbat Hai Tum Se
Ab Tum Bhi Kaho Na Kuch Hum Se

Sawan Ko Mohabbal Badal Se
Aankhon Ko Mohabbat Kajal Se
Peron Ko Mohabbat Payal Se
Humein Aise Mohabbat Hai Tum Se -2

Koi Nahi Tha Jiske Liye Hum
Jaan Apni Dete, Duniya Lutaate
Koi Nahi Tha Nazron Main Apni
Jisko Sanam, Apna Banate

Sapnon Ko Mohabbat Aankhon Se
Aankhon Ko Mohabbat Raaton Se
Raaton Ko Mohabbat Yaadon Se
Humein Aise Mohabbat Hai Tum Se -2

Sab Kuch Tha Lekin Saajan Nahi Tha
Baadal Hi Dekhe Saavan Nahi Tha
Hum Se Shikayat Karta Tha Yeh Dil
Surat Mili Thi Darpan Nahi Tha

Haathon Ko Mohabbat Kangan Se
Nathni Ko Mohabbat Dulhan Se
Sanson Ko Mohabbat Dhadkan Se
Hai Aisi Mohabbat Saajan Se -2

Sawan Ko Mohabbal Badal Se
Aankhon Ko Mohabbat Kajal Se
Peron Ko Mohabbat Payal Se
Humein Aise Mohabbat Hai Tum Se -2

(Taaron Ko Mohabbat Ambar Se
Phoolon Ko Mohabbat Shabnam Se
Jaise Dil Ko Mohabbat Dilbar Se) -2
Humein Aise Mohabbat Hai Tum Se -4

Make a Free Website with Yola.