"De De Pyar De (Female Vocals)"

Hum Bande Hai Pyar Ke Maange Sabki Khair
Apani Sabse Dosti Nahi Kisise Bair

(de De Pyaar De
De De Pyaar De Pyaar De Pyaar De Re Hamein Pyaar De )-2
Duniya Wale Kuchh Bhi Samajhen Ham Hain Prem Deewane
Jahaan Bhi Jaayen Tujhe Pukaaren Gaa Ke Prem Taraane
De De Pyaar De ...

Aane Ko To Roz Hi Aate Suraj Chaand Sitaare
Ho Phir Bhi Andheri Hai Ye Duniya Tu Hi Raah Dikhaaye
Prem Pyaar Sukh Chain Ki Varshaa Teri Nazar Se Barsen
Ye Dukh Dard Ki Aag Mein Bhi Koi Dil Naa Pyasa Tarse
De De Pyaar De ...

Yahaan Dilon Ke Bich Khadi Jo Vo Deewar Giraa De
Haan Dil Mein Soyi Soyi Aisi Pyaar Ki Jot Jagaa De
Pyaar Ho Dil Mein To Lagti Hai Saari Duniya Pyari
Ham Saari Duniyaa Ke Saari Duniyaa Hamaari
De De Pyaar De


"Inteha Ho Gayi Intezaar Ki"

(inteha Ho Gayi Intezaar Ki Aayi Na Kuchh Khabar Mere Yaar Ki
Yeh Hamein Hai Yakeen Bewafaa Woh Nahin Phir Wajah Kya Hui Intezaar Ki) -2

Baat Jo Hai Uss Mein Baat Woh Yahaan Kahin Nahin Kissi Mein
Woh Hai Meri Bas Hai Meri Shor Hai Yahi Gali Gali Mein
Saath Saath Hai Woh Mere Gham Mein Meri Har Khushi Mein
Zindagi Mein Woh Nahin Toh Kuchh Nahin Hai Meri Zindagi Mein

Bujh Na Jaaye Yeh Shama Aitbaar Ki

Intehaa.....intezaar Ki

Ho Oooo Mere Sajana Lo Main Aa Gayi
Logon Ne Toh Diye Honge Bade Bade Nazaraane
Layi Hoon Main Tere Liye Dil Mera
Dil Yahi Maange Dua Hum Kabhi Ho Na Judaa
Mera Hai Mera Hi Rahe Dil Tera
Yeh Meri Zindagi Hai Teri - 2

Tu Mera Sapana
Main Tujhe Paa Gayi
O Mere Sajana Lo Main Aa Gayi

Gham Ke Andhere Dhale Bujh Gaye Sitaaren Bhale
Dekha Tujhe Toh Dilon Mein Jaan Aayi
Honton Pe Taraane Saje Armaan Deewane Jage
Baahon Mein Aake Tu Aise Sharmaayi
Chaa Gayi Phir Wohi Bekhudi

Woh Ghadi Kho Gayi Intezaar Ki
Aa Gayi Rutt Haseen Hasl-e-yaar Ki
Yeh Nasha Yeh Khushi Ab Na Kam Ho Kabhi

Umra Bhar Na Dhale (raat Pyaar Ki)-3 


"Jahan Mil Jaayen Chaar Yaar"

Jahan Chaar Yaar Mil Jaayen Wahin Raat Ho Gulzar
Mehfil Rangeen Jame Dhoom Mache Daur Chale
Mast Mast Nazar Dekhe Naye Chamatkar
Jahan Chaar Yaar...

One O Clock In My House
There Was A Cat There Was A Mouse
Khel Rahe The Danda Gilli
Chooha Aage Peechhe Billi
Choohe Ko Pad Gaye Jaan Ke Laale
Bola Mujhko Koi Bachale
Mere Paas Tha Bhara Gilass
Pee Gaya Chooha Saari Whisky
Kadak Ke Bola Kahan Hai Billi
Dum Dabake Billi Bhaagi
Choohe Ki Phuti Kismat Jaagi
Khel Risky Tha Whisky Ne Kiya Beda Paar
Mehfil Rangeen Jame...

Ek Tha Husband Ik Thi Wife
Miserable Thi Unki Life
Drunkard Husband Fighter Wife
Roz Ke Jhagde Roz Ke Lafde
Lafde Jhagde, Jhagde Lafde
Biwi Ki Thi Ek Saheli
Usne Usko Kuchh Samjhaya
Tab Biwi Ki Samajh Mein Aaya
Raat Ko Husband Peekar Aaya
Darwaze Pe Phir Chillaaya
Us Din Biwi Ban Gayi Bholi
Kundi Kholi Haske Boli
Janeman Zara Andar To Aao
Pehle To Kuch Khao Vaao
Phir Bistar Pe Hongi Baatein
Bade Pyaar Se Katengi Raatein
Husband Chauka , Yeh Bhule Se Maein Kiske Ghar Aa Gaya Yaar
Meri Biwi Mujhe De Nahin Sakti, Kabhi Itna Pyaar
Husband Bistar Chhodh Ke Bhaaga
Kundi Taala Todh Ke Bhaaga
Bola Devi Mujhe Maaf Kijiye
Mere Saath Zara Insaaf Kijiya
Mujhko Apne Ghar Jaana Hai
Warna Biwi Phir Maregi
Tab Biwiki Samajh Mein Aaya
Peena Chhoot Gaya Biwine Itna Diya Pyaar
Phir Dono Aise Mile Pyaar Mein Hi Doob Gaye
Pyar Agar Mile To Har Nasha Hai Bekaar
Jahan Chaar Yaar... 


"Manzilein Apni Jagah Hain"

Manzilo Pe Aa Ke Lootate Hai Dilon Ke Caaravaan
Kashtiya Saahil Pe Aksar Doobati Hai Pyaar Ki

Manzile Apni Jagah Hai Raaste Apni Jagah (2)
Jab Kadam Hi Saath Naa De To Musaafir Kyaa Kare
Yoon To Hai Humdard Bhi Aur Humsafar Bhi Hai Meraa (2)
Badh Ke Koyi Haath Naa De Dil Bhalaa Fir Kyaa Kare
Manzile Apni Jagah Hai Raaste Apni Jagah

Doobne Waale Ko Tinke Kaa Sahaaraa Hi Bahot
Dil Bahal Jaaye Fakat Itnaa Ishaaraa Hi Bahot
Itne Par Bhi Aasmaan Waalaa Giraa De Bijaliyaan
Koi Batlaa De Zaraa Yeh Doobtaa Fir Kyaa Kare
Manzile Apni Jagah Hai Raaste Apni Jagah

Pyaar Karnaa Jurm Hai To Jurm Hum Se Ho Gayaa
Kaabil-E-Maafi Huaa Karte Nahin Aise Gunaah
Sangdil Hai Yeh Jahaan Aur Sangdil Meraa Sanam
Kyaa Kare Josh-E-Junoon Aur Hauslaa Fir Kyaa Kare
Manzile Apni Jagah Hai Raaste Apni Jagah
Jab Kadam Hi Saath Naa De To Musaafir Kyaa Kare
Yoon To Hai Humdard Bhi Aur Humsafar Bhi Hai Meraa
Badh Ke Koyi Haath Naa De Dil Bhalaa Fir Kyaa Kare 


"Mujhe Naulakha Manga De Re"

 Asha:
Ang Ang Tera Rang Rachaake
Aisa Karu Singaar
Jab Jab Jhaanjhar Jhankaau Main
Khanake Man Ke Taar

Mujhe Naulakha Manga De Re O Saiya Deewaane (2)
Mujhe Naulakha Manga De Re O Saiya Deewaane
Maathe Pe Jhoomar Kaanon Mein Jhumka
Paanv Mein Paayaliyaahaatho Mein Ho Kangana

Mujhe Naulakha Manga De Re O Saiya Deewaane
Tujhe Main (2)
Tujhe Gale Se Laga Loongi O Saiya Deewaane
Mujhe Angiya Sila De O Saiya Deewaane
Tujhe Main (2)
Tujhe Seen Se Lagaa Loongi O Saiya Deewaane
Mujhe Naulakha Manga De Re O Saiya Deewaane

Salma Sitaron Ki Jhilmil Chunariya
Aau Pahenke To Fisle Najariya
Mujhe Ko Sajaa De Balmaa
Sajaa De
Mujhe Ko Sajaa De Balmaa

Kori Kuwari Yeh Kamseen Umariya
Tere Liye Naache Sajke Sanwariya
Laali Manga De Sajna
Sooraj Se Laali Manga De Sajna
Tujhe Main (2)
Tujhe Hothon Se Laga Loongi O Saiya Deewaane (2)
Mujhe Naulakha Manga De Re O Saiya Deewaane

Main To Saari Umariya Lootaye Baithi
Balma Do Akhiyon Ki Sharaat Mein
Main To Janmon Ka Sapna Sajaaye Baithi
Sajanaa Kho Ke Teri Mohabbat Mein

Maana Re Maana Yeh Ab Maine Maana
Hota Hai Kya Saiyan Dil Ka Lagana
Roke Yeh Duniya Ya Roothe Zamana
Jaana Hai Mujhko Sajan Ghar Jaana
Ho
Jaise Kajra Hase (4)
Waise Akhiyon Mein Tum Muskurana
Ho Kirnon Se Yeh Maang Meri Sajaa De
Poonam Ke Chanda Ki Bindiya Manga De
Tujhe Main (2)
Tujhe Maathe Pe Sajaa Loongi O Saiya Deewaane (2)

Maathe Pe Jhoomar Kaanon Mein Jhumka
Paanv Mein Paayaliyaahaatho Mein Ho Kangana
Mujhe Naulakha Manga De Re O Saiya Deewaane
Tere Kadmon Pe Chhalka Doongi Main Saare Maikhaane

Chorus: Aaaa Aaaa

Kishore:
Hmm Hmm Hmm Hmm Hmm
De Re Na
Log Kehte Hai Main Sharaabi Hoon (2)
Tum Ne Bhi Shaayad Yehi Soch Liye Haan
Log Kehte Hai Main Sharaabi Hoon

Kissi Pe Husn Ka Guroor Jawaani Ka Nasha
Kissi Ke Dil Pe Mohabbat Ki Rawaani Ka Nasha
Kissi Ko Dekhke Saanso Se Ubharta Hai Nasha
Bina Piye Bhi Kahin Hadh Se Guzarta Hai Nasha
Nashe Mein Kaun Nahin Hai Mujhe Bataao Zara
Kisse Hai Hosh Mere Saamne To Laao Zara
Nasha Hai Sab Pe Magar Rang Nashe Ka Hai Juda
Khili Khili Hui Subah Pe Hai Shabnam Ka Nasha
Hawa Pe Khushbu Ka Baadal Pe Hai Rimjhim Ka Nasha
Kahin Suroor Hai Khushiyon Ka Kahin Gham Ka Nasha
Nasha Sharaab Mein Hota To Naachti Botal
Maikade Jhoomte Paimaanon Mein Hoti Hulchul
Nasha Sharaab Mein Hota To Naachti Botal
Nashe Mein Kaun Nahin Hai Mujhe Bataao Zara (2)

Log Kehte Hai Main Sharaabi Hoon (2)
Tum Ne Bhi Shaayad Yehi Soch Liye Haan
Log Kehte Hai Main Sharaabi Hoon

Thodi Aankhon Se Pilaa De Re Sajni Deewaani (2)
Tujhe Main (2)
Tujhe Saanso Mein Basaa Loonga Sajni Deewaani
Tujhe Naulakhaa Manga Doonga Sajni Deewaani (2)

Aaaa Aaaa

Make a Free Website with Yola.