"Paom Chhoo Lene Do"

Ra: PaaNv Chhoo Lene Do PhooloN Ko Inaayat Hogi, Inaayat Hogi
Varnaa Hamko Nahin, Inko Bhi Shikaayat Hogi
Shikaayat Hogi

La: Aap Jo Phool Bichhaayen Unhen Ham Thukraayen - 2
Hamko Dar Hai
Hamko Dar Hai Ke Ye Tauheen-e-muhabbat Hogi, Muhabbat Hogi

Ra: Dil Ki Bechain UmangoN Pe Karam Farmaao - 2
Itnaa Ruk Ruk
Itnaa Ruk Ruk Ke Chaloge To Qayaamat Hogi, Qayaamat Hogi
PaaNv Chhoo Lene Do PhooloN Ko Inaayat Hogi, Inaayat Hogi

La: Sharm Roke Hai Idhar, Shauq Udhar Khinche Hai - 2
Kyaa Khabar Thi
Kyaa Khabar Thi Kabhi Is Dil Ki Ye Haalat Hogi
Ye Haalat Hogi

Ra: Sharm GairoN Se Huaa Karti Hai ApnoN Se Nahin - 2
Sharm Ham Se
Sharm Ham Se Bhi Karoge To Museebat Hogi, Museebat Hogi
PaaNv Chhoo Lene Do PhooloN Ko Inaayat Hogi, Inaayat Hogi
La: Hamko Dar Hai Ke Ye Tauheen-e-muhabbat Hogi, Muhabbat Hogi

 

 "Na Na Na Na"

Su: Na Na Na Re Na Na, Haath Na Lagaanaa
Tose Baar Baar KahooN Mohe Na Sataanaa
DooNgi GaariyaaN
Mi: Roop Ye Suhaanaa, Uspe Ye Baalaa
Gori Tori AkhiyaaN Hai Rang Kaa Khazaanaa
Laage PyaariyaaN

Su: Bhaiyaa Moraa Gabroo Hai, ( Sainyaa Moraa BaaNkaa ) -2
Chaalengi KaTaaren Tere ( MuD Ke Jo JhaaNkaa ) -2
Royegaa Tor KhaDaa Na Na Jaan Ganvaanaa Ye ( Mainn BolooN ) -2
Main DooNgi GaariyaaN
Na Na Na Re N`a Na, Haath Na Lagaanaa
Tose Baar Baar KahooN Mohe Na Sataanaa
DooNgi GaariyaaN

Mi: NainoN Ki KaTaari Laage, ( Man Pe Jo Thaari ) -2
Gensoo Jhuke Jo Tori ( Chhab Matvaari ) -2
Roop Jhalak Dikhlaanaa Nahin Tarsaanaa
O Na Bolo Ye BatiyaaN Na Bolo GaariyaaN
Roop Ye Suhaanaa, Uspe Ye Baalaa
Gori Tori AkhiyaaN Hai Rang Kaa Khazaanaa
Laage PyaariyaaN

Su: Roop Ke Khazaane Pe Hai ( Sainyaa Ji Kaa Pahraa ) -2
Jiven More SaiyaaN Jaase ( Pyaar Moraa Gahraa ) -2
Tu Hai PuruSh Anjaanaa, Binaa Pahchaanaa
Re ( Main BolooN ) -2
Main DooNgi GaariyaaN
Mi: Roop Ye Suhaanaa, Uspe Ye Baalaa
Gori Tori AkhiyaaN Hai Rang Kaa Khazaanaa
Laage PyaariyaaN
Su: Na Na Na Re Na Na, Haath Na Lagaanaa
Tose Baar Baar KahooN Mohe Na Sataanaa
DooNgi GaariyaaN

 

 "Khudaa-e-Bartar Teri Zamin Par"

Khudaa-e-bartar Teri Zamin Par, Zamin Ki Khaatir Ye Jang KyoN Hai
Har Ek Fatah-o-zafar Ke Daaman Pe Khoon-e-insaaN Kaa Rang KyoN Hai
Khudaa-e-bartar Teri Zamin Par, Zamin Ki Khaatir Ye Jang KyoN Hai

Zamin Bhi Teri, Hain Ham Bhi Tere, Ye Milkiyat Kaa Savaal Kyaa Hai
Ye Qatl-o-KhooN Kaa Rivaaz KyoN Hai, Ye Rasm-e-jang-o-jadaal Kyaa Hai
Jinhe Talab Hai Jahaan Bhar Ki, Unhi Kaa Dil Itnaa Tang KyoN Hai
Khudaa-e-bartar Teri Zamin Par, Zamin Ki Khaatir Ye Jang KyoN Hai

Ghareeb MaaNo Shareef BehnoN Ko Amn-o-izzat Ki Zindagi De
Jinhe Ataa Ki Hai Tu Ne Taaqat, Unhe Hidaayat Ki Roshni De
SaroN Mein Kibr-o-Ghuroor KyoN Hain, DiloN Ke Sheeshe Pe Jang KyoN Hai
Khudaa-e-bartar Teri Zamin Par, Zamin Ki Khaatir Ye Jang KyoN Hai

Khazaa Ke Raste Pe JaanevaaloN Ko Bach Ke Aane Ki Raah Denaa
DiloN Ke Gulshan UjaD Na Jaaye, MuhabbatoN Ko Panaah Denaa
JahaaN Mein Jashn-e-vafaa Ke Badle, Ye Jashn-e-teer-o-tafang KyoN Hai
Khudaa-e-bartar Teri Zamin Par, Zamin Ki Khaatir Ye Jang KyoN Hai

Khudaa-e-bartar Teri Zamin Par, Zamin Ki Khaatir Ye Jang KyoN Hai
Har Ek Fatah-o-zafar Ke Daaman Pe Khoon-e-insaaN Kaa Rang KyoN Hai
Khudaa-e-bartar Teri Zamin Par, Zamin Ki Khaatir Ye Jang KyoN Hai

 

 "Jurm e Ulfat"

Aa Aa.., Aa Aa Aa
Jurm-e-ulfat Pe Hamen Log Sazaa Dete Hain -2
Kaise Naadaan Hain, SholoN Ko Havaa Dete Hain
Kaise Naadaan Hain

Hamse Deevaane Kahin Tarke Vafaa Karte Hain -2
Jaan Jaaye Ke Rahe Baat Nibhaa Dete Hain
Jaan Jaaye

Aap Daulat Ke Taraazoo Mein DiloN Ko Taulen -2
Ham Mohabbat Se Mohabbat Kaa Silaa Dete Hain
Ham Mohabbat Se

TaKht Kyaa Cheez Hai Aur Laal-o-javaahar Kyaa Hai -2
Ishq Vaale To Khudaai Bhi LuTaa Dete Hain
Ishq Vaale

Hamne Dil De Bhi Diyaa Ehd-e-vafaa Le Bhi Liyaa -2
Aap Ab Shauq Se Deden Jo Sazaa Dete Hain
Jurm-e-ulfat Pe Hamen Log Sazaa Dete Hain

 

 "Jo Baat Tujh Mein Hai"

Jo Baat Tujh Mein Hai,
Teree Tasaweer Mein Nahee
Tasaweer Mein Nahee

Rangon Mein Teraa Aks Dhalaa, Too Naa Dhal Sakee
Saanson Kee Aanch Jism Kee Khushaboo Naa Dhal Sakee
Tujh Mein Jo Loch Hai, Meree Tahareer Mein Nahee
Tahareer Mein Nahee
Jo Baat Tujh Mein Hai,
Teree Tasaweer Mein Nahee

Bejaan Husn Mein Kahaan, Raftaar Kee Adaa
Inkaar Kee Adaa Hai, Naa Ikaraar Kee Adaa
Koee Lachak Bhee Zulf-e-girahagir Mein Nahee
Girahagir Mein Nahee
Jo Baat Tujh Mein Hai,
Teree Tasaweer Mein Nahee

Duniyaa Mein Koee Cheez Naheen Hai Teree Tarah
Phir Ek Baar Saamane Aajaa Kisee Tarah
Kyaa Aur Ek Jhalak Meree Taqadeer Mein Nahee
Taqadeer Mein Nahee

Jo Baat Tujh Mein Hai,
Teree Tasaweer Mein Nahee

 

 "Chaandi Ka Badan"

Ra, Ma, Cho: ChaaNdi Kaa Badan Sone Ki Nazar
Us Par Ye Nazaakat Kyaa Kahiye
Eji Kyaa Kahiye
ChaaNdi Kaa Badan Sone Ki Nazar
Us Par Ye Nazaakat Haay Nazaakat Lyaa Kahiye
Kis Kis Pe Tumhaare JalvoN Ne
ToDi Hai Qayaamat Kyaa Kahiye
Eji Kyaa Kahiye
ChaaNdi Kaa Badan Sone Ki Nazar
A: Aa Aa Aa..
A, Mee, Cho: Aa..
GhustaaKh ZubaaN GhustaaKh Nazar
Ye Rang-e-tabiyat Kyaa Kahiye
Eji Kyaa Kahiye
Aise Bhi Kahin Is Duniyaa Mein
Hoti Hai Muhabbat Kyaa Kahiye
Eji Kyaa Kahiye
GhustaaKh ZubaaN GhustaaKh Nazar

Ra: Aa..
Ra, Ma, Cho: AaNchal Ki Dhanak Ke Saaye Mein
Ye Phool Gulaabi ChehroN, ChehroN Ke
Ye Phool Gulaabi Haa Aa Aa Aa Ye Phool Gulaabi ChehroN Ke
Ye Gul Bhi Hai Gulshan Bhi Hai Aur TaaroN Kaa JhurmaT Bhi
Ye Phool Gulaabi ChehroN Ke
Ye Phool Gulaabi Haay Gulaabi ChehroN Ke
Is Vaqt Hamaari NazroN Mein
Kyaa Cheez Hai Jannat Kyaa Kahiye
Eji Kyaa Kahiye
Is Vaqt Hamaari NazroN Mein
Ra, Ma: Haa Aa Haa Aa Haa
Ra: Tumse Nazren Jo Milin
Deen-o-duniyaa Se Gaye
Ik Tamannaa Ke Sivaa
Har Tamannaa Se Gaye
Mast AaNkhoN Se Jo Pee
Jaam-o-meenaa Se Gaye
Zulf Lahraayee JahaaN
Ham Bhi Lahraa Se Gaye
Ra, Ma, Cho: Hooren Milti Hain Kise
Is Ki Parvaah Se Gaye
Is Ki Parvaah Se, Parvaah Se, Parvaah Se Gaye
Is Vaqt Hamaari NazroN Mein
Kyaa Cheez Hai Jannat Kyaa Kahiye
Eji Kyaa Kahiye
ChaaNdi Kaa Badan Sone Ki Nazar

A: Aa Aa Aa..
A, Mee, Choo: YuN Garm Nigaahen Mat Daalo
Ye Jism Pighal Bhi Pighal Bhi Sakte Hain
Ye Jism Pighal Bhi, Aa Aa Aa Aa
Ye Jism Pighal Bhi Sakte Hain
Ye Jism Pighal Bhi Haay Pighal Bhi Sakte Hain
Aadaab-e-nazaaraa Bhoole Ho
Tum LogoN Ki Vahshat Kyaa Kahiye
Eji Kyaa Kahiye
Aadaab-e-nazaaraa Bhoole Ho
A: Aa Aa Aa Aa Aa
Tum Hamen Jeet Sako
Is Kaa Imkaan Nahin
Khud Ko Badnaam Karen
Ham Vo NaadaaN Nahin
Mee: Koi Martaa Hai Mare
Ham Pe Ehsaan Nahin
Un Se KyuN Baat Karen
Jin Se Pahchaan Nahin
A, Mee, Cho: Tum Ko ArmaaN Hai To Hai
Ham Ko Armaan Nahin
Ham Ko Armaan Ke Armaan Ke Armaan Nahin
Aadaab-e-nazaaraa Bhoole Ho -2
Tum LogoN Ki Vahshat Kyaa Kahiye
Eji Kyaa Kahiye
Ra, Ma, Cho: ChaaNdi Kaa Badan Sone Ki Nazar
A, Mee, Cho: Din Raat Duhaayee Dete Hain
Ye Haal Hai In DeevaanoN Kaa -2
A: Ye Haal Hai In DeevaanoN Kaa
Chorus: Ye Haal Hai In DeevaanoN Kaa -4
A: JahaaN Dekhi Nayee Soorat Machal BaiThe -2
Haay Yahi, Yahi, Yahi Lenge
Mee, Cho: Ye Haal Hai In DeevaanoN Kaa -2
Ma: Jin Ki Khaatir Gham Sahen Aur Ro-ro JaaN Gavaaen
Ra: Haay Ri Qismat Unhin Ke MooNh Se Deevaane Kahlaayen
Ra, Ma, Cho: Ke Ab ( Ye Haal Hai In DeevaanoN Kaa ) -2
A: Aa Aa.. Aa Aa Haa
In AashiqoN Ke Haath Hai, Ai Zindagi Bavaal
In Kaa Karen Khayaal Ke, Apnaa Karen Khayaal
Har Lab Hai Arz-e-shauq To, Har AaNkh Hai Savaal -2
A, Mee, Cho: Ye Gham Se Beqaraar Hai, Vo Dard Se Nihaal
Arey Ye Haal Hai In DeevaanoN Kaa
Ye Haal Hai In DeevaanoN Kaa
Ra: Aa.. Meri Neend Gayee Meraa Chain Gayaa
Vo Jo Pahle Thi Taab-o-tabaan Gayee
Ma: Yahi Rang Rahaa Yahi Dhang Rahaa
To Ye Jaan Lo Jaan Ki Jaan Gayee
Ra, Ma, Cho: Ye Haal Hai In DeevaanoN Kaa -2
A: Kisi Ko Khud-Khushi Kaa, Shauq Ho To, Kyaa Kare Koi
Ra: Davaa-e-hijr De, Beemaar Ko, Achchhaa Kare Koi
Mee: Koi Bevajah Sar PhoDe To KyoN Parvaah Kare Koi
Ma: Kisi Majboor-e-Gham Kaa Haal KyoN Aisaa Kare Koi
A: Mazaa Jab Hai Ki Tum, Tum TaDpaa Karo, TaDpaa Karo Tum
Dekhaa Kare Koi
Ra: Maren Ham Aur Tum Par, Ke Tum Par Khoon Kaa, Khoon Kaa
Daavaa Daavaa Kare Koi Ma: HaaN
Ra: Daavaa Kare Koi Ma: HaaN Aa Aa Aa
Ra, Ma, Cho: Ye Haal Hai In DeevaanoN Kaa -4
A, Mee, Cho: Ye Haal Hai In DeevaanoN Kaa, DeevaanoN Kaa
Jeete Bhi Nahin Marte Bhi Nahin
BechaaroN Ki Haalat Kyaa Kahiye
Eji Kyaa Kahiye
GhustaaKh ZubaaN GhustaaKh Nazar

 

 "Apni Zulfein"

Apni Zulfein Mere Shano Pe Bikhar Jane Do
Aaj Roko Na Mujhe Hadh Se Gujar Jaane Do
Apni Zulfein Mere Shano Pe Bikhar Jane Do

Tum Jo Aaye Toh Baharon Pe Shabab Aaya Hai
In Nazaron Pe Bhi Halka Sa Nasha Chaya Hain
Apni Aankhon Ko Nasha Aur Bhi Badh Jane Do
Apni Zulfein Mere Shano Pe Bikhar Jane Do
Aaj Roko Na Mujhe Hadh Se Gujar Jaane Do
Apni Zulfein Mere Shano Pe Bikhar Jane Do

Surkh Hoton Pe Gulabo Ka Guma Hota Hain
Aaisa Manjar Ho Jaha Hosh Kaha Rehta Hain
Yeh Hasin Hoth Mere Hothon Se Mil Jaana Do
Apni Zulfein Mere Shano Pe Bikhar Jane Do
Aaj Roko Na Mujhe Hadh Se Gujar Jaane Do
Apni Zulfein Mere Shano Pe Bikhar Jane Do

Make a Free Website with Yola.