"Aajkal Mere Hothon Pe"

Aaj Kal, Aaj Kal, Aaj Kal, Aaj Kal
Mere Honthon Par Hansi Hai Aaj Kal
Dil Mein Ek Duniya Basi Hai Aaj Kal
Aaj Kal, Aaj Kal, Aaj Kal, Aaj Kal ...

Aaj Kisi Ne Pyaar Se Mujhako Apana Kaha Hai
Main Ne Bhi Apane Dil Pe Kisi Ka Naam Likha Hai
Dil Ne Sajaaye Aankhon Mein Mere Sapane Hi Sapane
Chaand Bhi Apana Kirane Bhi Apani Taare Bhi Apane
Chaandani Hi Chaandani Hai Aaj Kal
Mere Honthon Par Hansi Hai Aaj Kal ...

Meri Tarah Se Lagate Hain Paagal, Chaand Sitaare
Kis Ke Liye Hai Phuul Ye Saare, Baahen Pasaare
Pyaar Ki Daulat, Pyaar Ke Motii, Pyaar Ke Shabanam
Ruuth Gaye The, Chhuut Gaye The, Mujhase Jo Mausam
Phir Un Ruton Ki Vaapasi Hai Aaj Kal
Mere Honthon Par Hansi Hai Aaj Kal

 

 "Ghar Se Masjid Hain"

Ghar Se Masjid Hai Bahut Door Chalo, Yu Kar Le
Kisi Rote Hue Bachche Ko Hansaaya Jaaye
Ghar Se Masjid Hai Bahut Door ...

Hamsafar To Koi Waqt Ke Veeraane Mein - 2
Sooni Aankhon Mein - 2
Koi Khwaab Sajaaya
Ghar Se Masjid Hai Bahut Door ...

Roshani Ki Bhi Hifazat Hai Ibaadat Ki Tarah - 2
Bujhate Sooraj Se -2
Chaaragon Ko Jalaya Jaaye
Ghar Se Masjid Hai Bahut Door ...

Gam Akela Hai To Saanson Ko Satata Hai Bahut - 2
Dard Ko Dard Ka -2
Hamdard Banaya Jaaye
Ghar Se Masjid Hai Bahut Door

 

 "Main Toh Lut Gaya"

Aji O Taash Ke Baawan Patte Panje Chhakke Satte
Sab Ke Sab Harjaai Main To Lut Gaya
Main To Lut Gaya Raam Duhaai -2
Taash Ke Baavan ...

Daan Yateemon Ko Deta To Daani Main Kahalaata
Khush Ho Jaati Biwi Jo Uske Gahane Banawata -2
Maine Kaagaz Ki Begam Se Kaahe Aankh Ladaai
Main To Lut Gaya ...

Apne Dil Ka Chain Bhi Haara Aur Daulat Bhi Haari
Maalik Ne Insaan Banaya Main Ban Gaya Juaari -2
Gali-gali Mein Ho Gayi Yaaron Aaj Meri Rusawaai
Main To Lut Gaya

 

 "Shabke Jaage Hue Taaron"

Raath Bar Dheedaaye Namnaak Mein Leharaathe Hue
Saans Ki.. Tarahe Se Aap Aaathe Rahe Jaathe Rahe
Shabke Jaage Hue Taaroan Ko Bhi Neend Aane Ladi Hai
Aap Ki Aane Ki Ek Aas Bhi Ab Jaaane Lage

Huspe Hum Apni Tamannaon Kaha Paayaega
Nazeraini Jeeke Ye Sharmaaye Hue Aayega(2)

Kaarthoolay Chehre Pe Bikaraaye Hue Aaayega
Pathiyaan Kad Kitho Hum Samaje Ke Aaap Aane Lagi Hai
Sajthe Masjood Pe Maabooth Ko Hum Paahi Gayi
(Shabkejaage Hue...lagi)

Subhu Ne Se Jise Udthe Hua Lee Angdaayi(2)
Aye Subha Tu Bhi Jo Aayi Tho Akeli Aayi

Meri Mehaboob Mere Hosh Udane Vaali
Meri Masjood Meri Rooh Pe Jaanevaali

Aabhi Ja Thaake Maine Kadmoan Pe Teri Aane Lagi Hai
Aabhi Jaa Thaake Meri Sajdhon Ko Armaan Mile

Shabke Jaage Hue Taaroan Ko Bhi Neend Aane Lagi Hai
Aapke Aane Ki Ek Aas Ab Jaane Lagi

Raath Bar Dheedaaye Namnaak Mein Leharaathe Hue
Saas Ki Tarahe Se Aap Aaathe Rahe Jaathe Rahe

 

 "Uth Meri Jaan"

Aah Aah Aah, Aah Aah Aah, Aah, Aah Aah
Zindagi To Hai Amal Sabr Ke Qaabu Mein Nahin
Nabz Ka Garm Lahoo Thande Se Aansu Mein Nahin
Udne Mein, Khulne Mein Hai Khushboo
Game Gessu Mein Nahin
Jannat Ek Aur Hai Jo Mard Ke Pehlu Mein Nahin
Uski Aazaad Rabish Par Hi Machalna Hai Tujhe - 2
Jis Mein Jalta Hoon, Ussi Aag Mein Jalna Hai Tujhe
Uth Meri Jaan, Mere Saath Hi Chalna Hai Tujhe - 2
Uth Meri Jaan, Uth Meri Jaan, Uth Meri Jaan
Uth Meri Jaan, Mere Saath Hi Chalna Hai Tujhe

Tere Aanchal Mein Hai Kirnein Bhi, Andheraa Hi Nahin
Tujhse Raatein Bhi Mahekti Hai, Saveraa Hi Nahin
Dil Mein Armaan Bhi Hai, Gham Ka Baseraa Hi Nahin
Gham Ke Ghanghor Andhere Se Nikalna Hai Tujhe - 2
Jis Mein Jalta Hoon, Ussi Aag Mein Jalna Hai Tujhe
Uth Meri Jaan, Mere Saath Hi Chalna Hai Tujhe
Uth Meri Jaan, Uth Meri Jaan, Uth Meri Jaan
Uth Meri Jaan, Mere Saath Hi Chalna Hai Tujhe

Kadr Ab Tak Teri Taarikh Ne Jaani Hi Nahin
Roshni Bhi Teri Aankhon Mein Hai, Paani Hi Nahin
Haar Tune Kabhi Taqdeer Se Maani Hi Nahin
Tu Haqeeqat Bhi Hai, Dilchasp Kahaani Hi Nahin
Har Adaa Teri Qayaamat Hai, Jawaani Hi Nahin
Apni Taarikh Ka Unwaan Badalna Hai Tujhe
Uth Meri Jaan, Mere Saath Hi Chalna Hai Tujhe
Uth Meri Jaan, Uth Meri Jaan, Uth Meri Jaan
Uth Meri Jaan, Mere Saath Hi Chalna Hai Tujhe

Make a Free Website with Yola.