"Jab Jab Bahar Aaye"

Jab Jab Bahar Aaye Aur Phool Muskaraye,
Mujhe Tum Yaad Aaye
Jab Jab Bhi Chand Nikla Aur Tare Jagmagaaye,
Mujhe Tum Yaad Aaye.

Apna Koi Tarana Maine Nahin Banaaya
Tumne Mere Labon Pe Har Ek Sur Sajayaa
Jab Jab Mere Taraane Duniyane Gungunaaye
Mujhe Tum Yaad Aaye.

Ek Pyar Aur Wafa Ki Tasveer Maanta Hoon
Tasveer Kya Tumhe Main Taqdeer Manta Hoon
Dekhi Nazar Ne Khushiyaan, Ya Dekhe Gum Ke Saaye
Mujhe Tum Yaad Aaye

Mumkin Hai Zindagaani Kar Jaaye Bewafaai
Lekin Yeh Pyar Woh Hai Jismein Nahin Judaai
Is Pyar Ke Fasaane, Jab Jab Zuban Pe Aaye
Mujhe Tum Yaad Aaye

 

 "Mujhe Bhul Jaana Agar Ho Sake"

Mujhe Bhool Jaana Agar Ho Sake -2
Na Phir Yaad Aana Agar Ho Sake
Mujhe Bhool Jaana ...

Mera Pyaar Guzare Zamaane Ki Hai Baat
Rahe Yaad Kyon Bhool Jaane Ki Baat
Nahi Koi Aansu Bahaane Ki Baat
Na Aansu Bahaana Agar Ho Sake
Mujhe Bhool Jaana ...

Mujhe Maaf Karana Mere Hamasafar
Kaheen Kho Gaya Main Tumhen Chhod Kar
Tumhen Maine Aansu Die Hain Magar
Sada Muskaraana Agar Ho Sake
Mujhe Bhool Jaana

 

 "Saat Samundar Paar Ke"

Saat Samundar Paar Ke
Gudiyo Ke Baazaar Se
Achhi Si Gudiya Laana
Gudiya Chaahe Na Laana
Pappa Jaldi Aa Jaana

Tum Pardes Gaye Jab Se
Bas Ye Haal Hua Tab Se
Dil Deewana Lagta Hai
Ghar Veerana Lagta Hai
Jhilmil Chaand Sitaaron Ne
Darawazon Deewaron Ne
Sabne Poochha Hai Ham Se
Kab Ji Chhootega Gam Se
Kab Ji Chhootega Gam Se
Kab Hoga Unka Aanaa, Pappa

Maa Bhi Lori Nahi Gaati
Ham Ko Neend Nahi Aati
Khel Khilaune Toot Gaye
Sangi Saathi Chhoot Gaye
Jeb Hamaari Khaali Hai
Aur Baasi Deewali Hai
Ham Sabko Na Tadpaao
Apne Ghar Wapas Aao
Apne Ghar Wapas Aao
Aur Kabhi Phir Na Jana, Pappa

Khat Na Samjho Taar Hai Ye
Kaagaz Nahi Hai Pyar Hai Ye
Doori Aur Itni Doori
Aaisi Bhi Kya Majaboori
Tum Koi Naadaan Nahi
Tum Isse Anjaan Nahi
Is Jeevan Ke Sapne Ho
Ek Tumhi To Apane Ho
Ek Tumhi To Apane Ho
Saara Jag Hai Begana, Pappa

Make a Free Website with Yola.