"Meri Aan Bhagwaan"

( Meri Aan Bhagwaan ) -2 Kan Kan Se Ladi Hai Jo
Tujhase Bhi Aaj Ladegi
Meri Baat Tumhein Rakhni Padegi
Meri Aan Bhagwaan

Dekh Apnon Ka Dukh Jo Chhipaaoge Mukh
Isse Aapas Ki Raar Badhegi
Meri Baat Tumhein Rakhani Padegi
Meri Aan Bhagwaan ...

Hamne To Suna Hai Badon Ke Mukh Se
Apne Baalkon Se Tumko Bhi Pyaar Hai
Phir Kyon Bhoolte Ho Sabke Pita
Kuch Hamara Bhi Tumpe Adhikaar Hai
Ladkhadate Hain Paanv Aur Dekh Rahe Tum
Kya Ye Nayya Bhanvar Mein Adegi
Meri Baat Tumhein Rakhni Padegi
Meri Aan Bhagwaan ...

Meri Palkon Ka Tod Kinara
Lagi Bahane Aansuon Ki Dhara
Teri Dharti Bahegi Tera Ambar Bahega
Beh Jaayega Aasan Tumhara
Meri Sun Ke Bhagwaan Jo Diya Nahi Dhyan
To Jabaan Meri Zid Pe Chadhegi
Meri Baat Tumhein Rakhni Padegi
Meri Aan Bhagwaan

 

 "Meri Chhoti Si Bahan"

Geeta : Meri Chhoti Si Bahan Dekho Gahane Pahan
Sasuraal Chali Re Ban Than Ke
Haathon Mein Gajra Akhiyon Mein Kajra
Nakhare To Dekho Dulhan Ke
Meri Chhoti Si Bahan ...

La : Mera Bhaiya Hai Deewana Iski Baaton Mein Na Aana
Jhoothi Batiyaan Banaaye Ban Ban Ke
Pagla Hain Mann Se Ye Ghadi Ghadi Sanke
Iske Puraje Hain Dheele Bachpan Se
Meri Chhoti Si Bahan ...

Geeta : Sasuraal Gayi To Deedi Ham Ko Bhi Bhool Jaaogi
Wahaan Jeeja Ki Mithaai Kha Kha Kuppe Si Phool Jaaogi
Moti Moti Bahu Ban Phir Bade Bade Rob Dikhaaogi
Na Khilaaogi Jo Khana Pet Bharunnga
Chori Chori Teri Baatein Sun Ke
Meri Chhoti Si Bahan ...

La : Bholi Dekh Ke Mujhe Boli Bolate Kyon Akad Akad Ke
Bach Na Paaoge Re Bachchu Ham Se Yoon Jhagad Jhagad Ke
Ham Jaanate Hain Tumhein Tum Gol Gol Dhol Ho Rabad Ke
Zara Aane De Bhaabhi Ko Seedha Karegi Kaan Pakad Ke
Haan Tere Choohe Jaise Kaan Pakad Ke
Paanv Pakdoge Tum Naak Ragdoge Tum
Meri Chhoti Si Bahan

 

 "Nirbal Se Ladaai Balwaan Ki"

Nirbal Se Ladaai Balwaan Ki -2
Ye Kahaani Hai Diye Ki Aur Toofaan Ki -2

Ik Raat Andhiyaari, Thi Dishaaye Kaari-kaari
Mand-mand Pawan Tha Chal Raha
Andhiyaare Ko Mitaane, Jag Mein Jyot Jagaane
Ek Chhota Sa Diya Tha Kahi Jal Raha
Apni Dhun Mein Magan, Uske Tan Mein Agan
Uski Lau Mein Lagan Bhagwaan Ki
Ye Kahaani Hai Diye Ki Aur Toofaan Ki

Kahi Door Tha Toofaan...
Kahi Door Tha Toofaan, Diye Se Tha Balwaan
Saare Jag Ko Masalne Machal Raha
Jhaad Ho Ya Pahaad, De Woh Pal Mein Ukhaad
Soch-soch Ke Zameen Pe Tha Uchhal Raha
Ek Nanha Sa Diya, Usne Hamla Kiya -2
Ab Dekho Lila Vidhi Ke Vidhaan Ki
Ye Kahaani Hai Diye Ki Aur Toofaan Ki

Duniya Ne Saath Chhoda, Mamta Ne Mukh Moda
Ab Diye Pe Ye Dukh Padne Laga -2
Par Himmat Na Haar, Man Mein Marna Vichaar
Atyaachaar Ki Hawa Se Ladne Laga
Sar Uthhaana Ya Jhukaana,
Ya Bhalaai Mein Mar Jaana
Ghadi Aayi Uske Bhi Imtehaan Ki
Ye Kahaani Hai Diye Ki Aur Toofaan Ki

Phir Aisi Ghadi Aayi - 2, Ghanghor Ghata Chhaayi
Ab Diye Ka Bhi Dil Laga Kaanpne
Bade Zor Se Toofaan, Aaya Bharata Udaan
Us Chhote Se Diye Ka Bal Maapne
Tab Diya Dukhiyaara, Wah Bichaara Besahaara
Chala Daau Pe Lagaane, (baazi Praan Ki) - 4
Chala Daau Pe Lagaane, Baazi Praan Ki
Ye Kahaani Hai Diye Ki Aur Toofaan Ki

Ladte-ladte Woh Thaka, Phir Bhi Bujh Na Saka -2
Uski Jyot Mein Tha Bal Re Sachchaai Ka
Chaahe Tha Woh Kamzor, Par Tooti Nahi Dor
Usne Bida Tha Uthhaaya Re Bhalaai Ka
Huwa Nahi Woh Niraash, Chali Jab Tak Saans
Usse Aas Thi Prabhu Ke Wardaan Ki
Ye Kahaani Hai Diye Ki Aur Toofaan Ki

Sar Patak-patak, Pag Jhatak-jhatak
Na Hata Paaya Diye Ko Apni Aan Se
Baar-baar Waar Kar, Ant Mein Haar Kar
Toofaan Bhaaga Re Maidaan Se
Atyaachaar Se Ubhar, Jali Jyot Amar
Rahi Amar Nishaani Balidaan Ki
Ye Kahaani Hai Diye Ki Aur Toofaan Ki
Nirbal Se Ladaai Balwaan Ki
Ye Kahaani Hai Diye Ki Aur Toofaan Ki

Make a Free Website with Yola.