"Aye Mere Dil-E-Nadaan"

Aye Mere Dil-e-nadan Tu Gham Se Na Ghabarana (2)
Ik Din To Samajh Legi Duniya Tera Afsaana
Aye Mere Dil-e-nadan Tu Gham Se Na Ghabarana (2)

Armaan Bhare Dil Mein Zakhmon Ko Jagah De De (2)
Bhadke Hue Sholon Ko Kuch Aur Hawa Dede
Banti Hai To Ban Jaaye Yeh Zindagi Afsaana
Aye Mere Dil-e-nadan Tu Gham Se Na Ghabarana

Aye Mere Dil-e-nadan Tu Gham Se Na Ghabarana
Ik Din To Samajh Legi Duniya Tera Afsaana
Aye Mere Dil-e-nadan Tu Gham Se Na Ghabarana

Fariyad Se Kya Haasil Rone Se Natija Kya (2)
Bekaar Hai Yeh Baatein In Baaton Se Hoga Kya
Apna Bhi Ghadi Bhar Mein Ban Jaata Hai Begaana
Aye Mere Dil-e-nadan Tu Gham Se Na Ghabarana

Aye Mere Dil-e-nadan Tu Gham Se Na Ghabarana
Ik Din To Samajh Legi Duniya Tera Afsaana
Aye Mere Dil-e-nadan Tu Gham Se Na Ghabarana

 

 "Main Khushnaseeb Hoon"

Main Kushnaseeb Hoon Mujh Ko Kisi Ka Pyar Mila
Bada Haseen Mere Dil Ka Raazdaar Mila
Main Kushnaseeb Hoon

Hai Dil Mein Pyaar Zubaan Chup Jhuki Jhuki Nazaren
Ajab Ada Se Koi Aaj Pahali Baar Mila
Main Kushnaseeb Hoon

Kisi Ko Paake Mere Dil Ka Haal Mat Poochho
Ki Jaise Saare Zamane Pe Iktiyaar Mila
Main Kushnaseeb Hoon

Kisi Ne Poore Kiye Aaj Pyaar Ke Vaade
Meri Wafa Ka Sila Mujh Ko Shaandaar Mila
Main Kushnaseeb Hoon

Mere Chaman Ka Har Ek Phool Muskuraane Laga
Vo Kya Mile Mujhe Mausam-e-bahaar Mila
Main Kushnaseeb Hoon

Make a Free Website with Yola.