"Sooni Re Nagariya"

Sooni Re Nagariyaa, Sooni Re Sejariya
Bhaye Paradesi Mere Saanvariya
Sooni Re Nagariyaa, Raama

Likhna Na Jaanoon Main To, Kaise Likhoon Patiya
Koi Bata De Unse Mere Man Ki Batiyaan

Raama Duhaai Main To Ye Bhi Nahi Jaani
Beeta Kab Bachpan Aayi Re Jawaani

"Main Ek Raja Hoon"

Main Ek Raja Hoon, Tu Ek Rani Hai
Prem Nagar Ki Yeh Ek Sunder Prem Kahani Hai
Kya Hoti Hai Prem Kahani
Yeh Bhi Tu Naadan Na Jaani
Kitni Pyari Pyari Teri Yeh Naadani Hai
Main Ek Raja Hoon, Tu Ek Rani Hai

Man Mera Ek Mahal Ho Jaise
Tu Isme Rahti Hai Aise
Jaise Seep Mein Moti Hai - Sagar Mein Pani Hai
Main Ek Raja Hoon, Tu Ek Rani Hai

Premi Bhanvre Rangraliyon Ke
Kya Kehte Hain In Kaliyon Se
Yeh Tujhko Kaise Samjhaon, Tu Deewani Hai
Main Ek Raja Hoon, Tu Ek Rani Hai

"Majhi Naiyya Dhoonde"

Maajhi Naiya Dhoondhe Kinaara
O Maajhi Naiya Dhoondhe Kinaara
Kisi Na Kisi Ki Khoj Mein Hai Ye Jag Saara
Maajhi Naiya ...
Kabhi Na Kabhi To Samjhoge Tum Ye Ishaara
Maajhi Naiya ...

Aaisi Koi Mauj Nahi Jisko Koi Khoj Nahi
Koi Na Koi To Har Kisi Ko Lagta Hai Pyaara
Maajhi Naiya ...

Jeevan Path Par Chalte Hue Ik Din Thak Kar Chalte Hue
Kahi Na Kahi To Thaam Loonga Aanchal Tumhaara
Maajhi Naiya ...

Jaise Seeta-raam Mile Jaise Raadha-shyaam Mile
Kabhi Na Kabhi To Milan Hoga Tumse Hamaara
Maajhi Naiya

Make a Free Website with Yola.