"Chalat Musafir Moh Liya Re"

(chalat Musafir Moh Liyo Re
Pinjade Wali Muniya ) - 4

Udd Udd Baithi Halvaiya Dukaniya - 2
He Rama!!!
Udd Udd Baithi Halavaiya Dukaniya
Aare!
(barafi Ke Sab Ras Le Liyo Re
Pinjade Wali Muniya ) - 2

Aa He Aa He ... He Raama

Udd Udd Baithi Bajajava Dukaniya - 2
Aahaa!!!
Udd Udd Baithi Bajajava Dukaniya
Aare!
(kapda Ke Sab Ras Le Liyo Re
Pinjade Wali Muniya ) - 3

Jiyo Jiyo Palakdas Jiyo!

Udd Udd Baithi Panvadiya Dukaniya - 2
He Raamaa!!!
Udd Udd Baithi Panavadiya Dukaniya
Aare!
(beeda Ke Sab Ras Le Liyo Re
Pinjade Wali Muniya ) - 3

 

 "Duniya Bananewale Kya Tere Man"

Duniya Bananewale Kya Tere Man Mein Samaayi
Kaaheko Duniya Banayi
Toone Kaaheko Duniya Banayi

Kahe Banaye Toone Maati Ke Putle
Dharti Yeh Pyari Pyari
Mukhde Yeh Ujle
Kahe Banaya Toone Duniya Ka Khela
Usme Lagaya Jawaani Ka Mela
Gup-Chup Tamasha Dekhe, Wah Re Teri Khudaai
Kahe Ko Duniya...

Preet Banaake Toone Jeena Sikhaaya
Hansna Sikhaaya, Rona Sikhaaya
Jeevan Ke Path Par Meet Milaye
Meet Milake Toone Sapne Sajaaye
Sapne Sajaake Toone Kahe Ko De Di Judaai
Kahe Ko Duniya...

 

 "Maare Gaye Gulfaam"

( Maare Gaye Gulfaam
Aji Haan Maare Gaye Gulfaam ) -2
Ulfat Bhi Raas Na Aayi
Aji Haan Maare Gaye Gulfaam

Ik Sabzapari Dekhi
Aur Dil Ko Ganva Baithe
( Mastana-nigaahon Par
Phir Hosh Luta Baithe ) -2
Phir Hosh Luta Baithe
Kahe Ko Main Muskuraai

Aji Haan Maare Gaye Gulfaam
Maare Gaye Gulfaam
Aji Haan Maare Gaye Gulfaam

Aabru Ki Katari Se
Nainon Ki Dodhari Se
( Wo Ho Ke Rahe Zakhmi
Ik Baad-e-bahaari Se ) -2
Ik Baad-e-bahaari Se
Ye Zulf Kyon Lehraai

Aji Haan Maare Gaye Gulfaam
Maare Gaye Gulfaam
Aji Haan Maare Gaye Gulfaam

Is Pyaar Ki Mahafil Mein
Wo Aaye Muqaabil Mein
( Wo Teer Chale Dil Par
Halchal Si Hui Dil Mein ) -2
Halchal Si Hui Dil Mein
Chahat Ki Saza Paai

Aji Haan Maare Gaye Gulfaam
Maare Gaye Gulfaam
Aji Haan Maare Gaye Gulfaam
Ulfat Bhi Raas Na Aai
Aji Haan Maare Gaye Gulfaam

 

 "Paan Khaye Sainyaan Hamaro"

Paan Khaaye Sainyaan Hamaro
Saanvali Sooratiya Honth Laal-laal
Haay-haay Malmal Ka Kurta
Malmal Ke Kurte Pe Chheent Laal-laal
Paan Khaaye Sainyaan Hamaaro

( Hamne Mangaayi Suramedaani
Le Aaya Zaalim Banaras Ka Zarda ) -2
Aa
Apni Hi Duniya Mein Khoya Rahe Wo
Hamare Dil Ki Na Poochhe Bedarda
Poochhe Bedarda

Paan Khaaye Sainyaan Hamaaro
Hoy-hoy
Saanvali Sooratiya Honth Laal-laal
Haay-haay Malmal Ka Kurta
Malmal Ke Kurte Pe Chheent Laal-laal
Paan Khaaye Sainyaan Hamaro

( Bagiya Gun-gun Payal Chhun-chhun
Chupke Se Aayi Hai Rut Matwali ) -2
Aa
Khil Gayi Kaliyaan Duniya Jaane
Lekin Na Jaane Bagiya Ka Maali
Bagiya Ka Maali

Paan Khaaye Sainyaan Hamaaro
Hoy-hoy
Saanvali Sooratiya Honth Laal-laal
Haay-haay Malamal Ka Kurata
Malmal Ke Kurte Pe Chheent Laal-laal
Paan Khaaye Sainyaan Hamaaro

( Kha Ke Gilori Shaam Se Oonghe
So Jaaye Wo Deeyaa-baati Se Pahale ) -2
Ha
Aangan-ataari Mein Ghabaraai Doloon
Chori Ke Dar Se Dil Mora Dahale
Dil Mora Dahale

Paan Khaaye Sainyaan Hamaaro
Saanvali Sooratiya Honth Laal-laal
Haay-haay Malamal Ka Kurata
Malamal Ke Kurate Pe Chheent Laal-laal
Paan Khaaye Sainyaan Hamaaro

 

 "Rahega Ishq Tera Kaak"

Rahega Ishq Tera Kaak Mein Milake Mujhe
Hue Hain Ibteda Mein Ranj Inteha Ke Mujhe

Aa, Aa Bhi Ja
Raat Dhalne Lagi, Ho, Chaand Chhupane Chala
Ho Aa, Aa Bhi Ja

Teri Yaad Mein Bekabar, Shama Ki Tarah Raat Bhar-2
Jali Aarzu Dil Jalaa, Aa, Aa Bhi Ja

Sitaaron Ne Munh Pherkar Kaha Alvida Hamsafar -2
Chala Kaarvaan Ab Chalaa, Aa, Aa Bhi Ja

Ufak Par Khadi Hai Sahar, Andhera Hai Dil Mein Idhar -2
Wahi Roz Ka Silsilaa, Aa, Aa Bhi Ja

Raat Dhalne Lagi, Chaand Chhupane Chala
Ho Aa, Aa Bhi Ja

 

 "Laali Laali Doliya Mein"

Laali Laali Doliya Mein Laali Re Dulhaniya
Piya Ki Pyaari Bholi Bhaali Re Dulhaniya

Laali Laali Doliya Mein Laali Re Dulhaniya
Meethe Bain Teekhe Nainon Wali Re Dulhaniya

Lautegi Jo Godi Bhar Hamein Na Bhulana
Laddu Pedhe Lana Apne Haathon Se Khilana
Teri Sab Raatein Hon Diwali Re Dulhaniya

Doolhe Raja Rakhna Jatan Se Dulhan Ko
Kabhi Na Dukhana Tu Goriya Ke Mann Ko
Naazuk Hai Naazon Ki Hai Paali Re Dulhaniya

 

 "Sajan Re Jhooth Mat Bolo"

Sajan Re Jhooth Mat Bolo
Khuda Ke Paas Jaana Hai
Na Haathi Hai Na Ghoda Hai,
Wahan Paedal Hi Jana Hai

Tumhare Mehel Chaubaare
Yahin Reh Jayenge Saare
Akad Kis Baat Ki Pyaare
Yeh Sar Phir Bhi Jhukaana Hai
Sajan Re Jhooth...

Bhalaa Kije Bhalaa Hoga
Buraa Kije Buraa Hoga
Wahi Likh-Likh Ke Kya Hoga
Yahin Sab Kuch Chukana Hai
Sajan Re Jhooth...

Ladakpan Khel Mein Khoya
Jawaani Neend Bhar Soya
Budhaapa Dekhkar Roya
Wahi Kissa Purana Hai
Sajan Re Jhooth...

 

 "Sajanwa Bairee Ho Gaye Humaar"

Sajanawaan Bairee Ho Gaye Humaar
Chithheeyaan Ho To, Har Koee Baache, Bhaag Naa Baache Koee
Karamawaa Bairee Ho Gaye Humaar

Jaaye Base Parades Sajanawaa, Sautan Ke Bharamaaye
Naa Sandes Naa Koee Khabareeyaa, Rut Aaye Rut Jaaye
Doob Gaye Hum Beech Bhanwar Me, Kar Ke Solaa Paar
Sajanawaa Bairee Ho Gaye Humaar

Sunee Sej God Moree Sunee, Maram Naa Jaane Koee
Chhatapat Tadape Pareet Bichaaree, Mamataa Aansoo Roye
Naa Koee Is Paar Humaaraa, Naa Koee Us Paar
Sajanawaa Bairee Ho Gaye Humaar

Make a Free Website with Yola.